Tuesday, March 26, 2024

Aulaad ki Tarbiyat


Aulaad ki Tarbiyat – Part 1







*Allah ke Naam se Shuru Jo tamam jahano ko banane wala aur usey palney wala hai! aur Duroodo Salaam ho Uskey aakhri Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) par*
Aaj kal aksar dekha jata hai ke Waldain apni Aulad ke talluk se Pareshan rehte hai ke kis tarha unki Tarbiyat ki jayey. kis tarha unhe accha Momin banaye. aur yahi cheez yaani Aulaad ki Tarbiyat aaj ke Jadeed dour me ek Sangeen masla hai, aur iski Shiddat har Gujarne wale saal me badhti ja rahi hai.


♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!
Hum is unwan me Aulad ki Tarbiyat ke tehat kuch Nuqaat (points) aapke samne rakhne ki koshish karenge, Aapse hazraat se darkhwast hai ke ispar jarur tawajjo de aur jitna ho sakey isey jyada se jyada logon tak pohochane me humari madad kare.

Sabse Pehli Baat ye ke –

” Aulad Allah Rabbul Izzat ki taraf se ek Nemat hai.”
Aur jaisa ke har Nemat ke Talluk se Allah Rabbul Izzat Humse puch Karega tou Aulad bhi ek Nemat hai lihaja Iske Talluk se bhi sawal kiya jane wala hai ke kya aur kaise iski tarbiyat ki ?

Jiske talluk se Allah Rabbul Izzat Quran me farmata hai :

“ Aye wo logo jo Iman laye ho! Apne Aap ko aur Apne Ahlo Ayal ko Jahannum ki us Aag se bachao jiska indhan Insan aur Patthar honge ”
- (Al-Quran 66:6)


Tou yaha Allah Rabbul Izzat ne Apne bando par ye Farz kar diya hai ke, Mere bando apne aapko aur apne biwi baccho ko Jahannum ki Aag se bachao, yaani unki aisi tarbiyat karo ke wo Halal aur Haram me tafreeq kar sakey, Allah aur Uske Rasool ki farmabardari karey aur har Uss amal se bachey jo duniya aur aakhirat ke khassare ka sabab baney.

Tou Aulaad ki Tarbiyat yaad rakhiye bohot aham aur sangeen masla hai, Iski Ahmiyat aur Jarurat ko samjhiye, iske duniyawi aur ukhravi faydo ko janiye, agar humne aisa na kiya tou dunia aur aakhirat ka bada nuqsan uthana lazim hai.

✦ Aulaad ki Tarbiyat na karne ke Nuqsanat:
Aulaad Walidain se jhagda karti hai, Waldain ko Gaaliya deti hai, Aas-Pados ko, Mahoul aur Muashre ke logo ko takleef pohochati hai, Walidain ko Ruswa karke Ladke Ladkiya bhagakar kar Nikah kar lete hai, Budhey Waldain ko Ghar se nikaal kar Old Age Home me chorr aatey hai, hatta ke chand Duniyawi mafad ke liye Waldain ka Qatl tak kar lete hai (Astagfirullah).

Aise Qaqiyat ki fehrist hum nikalenge tou bohot lambi hoti jayegi. beharhaal ye sirf aur sirf Aulaad ki sahi Tarbiyat na karne ka natija hai. aur pata bhi nahi aise kitne Zurm hotey hai jiski Sangeeni aur inteha hum bayan bhi nahi kar sakte.
– is liye kyunki Aulad ki sahi Tarbiyat nahi hoti. aur jab ek Baccha Apne Waldain ke sath ye Sulooq karta hoga Mu’ashre aur Mahoul, Padosi aur Musafiro ka, sath wale logon ka kya Sulooq karta hoga wo tou sirf Gumaan hi kiya ja sakta hai.

Tou Aulaad ki Tarbiyat ye bohot Aham masla hai yaad rakhiye aur Agar Humne ye na kiya tou Dunia aur Aakhirat ki badi ruswayi hai humare liye.


♥ In’sha’Allah ! Agle Part 2 me Hum Aulaad ki Tarbiyat ke talluk se chand aham Nuqaat par Gour karenge.


To be Continue …

Thursday, July 27, 2023

Aulaad Ki Tarbiyat – Part 2

 Aulaad Ki Tarbiyat – Part 2



✦ Aulaad ki Tarbiyat kaise kare ?
Ab aulaad ki tarbiyat kaise karey , kya iske liye usool apnaye , kounse nuqaat (points) ko dhyan me rakhey? in’sha’allah chand nuqaat aapke samne hum rakhne ki koshish karenge. inme kuch baate hum asi bhi rakhenge jispar aapko tajjub bhi ho sakta hai ke is cheez ka Aulaad ki tarbiyat se kya rishta, tou aayiye ispar gour karte hai.

Ek Shakhs they! wo ek Aalim ke paas gaye aur kaha: “Mai Apni Aulad ki Tarbiyat ke talluk se bada Pareshan hu”
uss Aalim ne pucha: “kya Umar hai Aapke Bacche ki ?”,. Uss Shakhs ne kaha : “4 ya 5 Mahine”

Tou wo Aalim kehte hai ke: “Uski Tarbiyat ka Waqt tou chala gaya…” Wo Shakhs pareshan ho gaya ke 4 ya 5 mahine ke Bacche ki Tarbiyat ka wakt aise kaise chala gaya.

Tou uss Aalim ne jawab diya aur kaha: Aulad ki tarbiyat me sabse pehla nukta ye hai ke uske liye acchi maa chunkar laya jaye” Subhan’Allah !

Beshaq Aulad ki Tarbiyat me Maa ka Aham Qirdaar hai, lihaja uske liye Sahih Maa ka Intekhab karna Tarbiyat ka sabse pehla aur Aham Marhala hai.

A) Tarbiyat ka 1st Marhala
› Nek aur Deendar Maa ka Intekhab:
Umar bin khattab (RaziAllahu Anhu) ke paas ek Shaksh laya gaya , jiske Walid ne usey Ghasit kar laya aur kaha ke “Aye Ameer-ul-mominin ! mera ye beta meri baat hi nahi sunta.”
Pucha gaya ke kyu baat nahi suntey apne waalid ki ?.. tou us Ladke ne kaha ke – “Aye Ameer-ul-Mominin ! pehle Mai Aapse ek Sawal karta hu ke “Aulaad ke Haq kya hai?”

Usey bataya gaya ke: “Aulaad ke liye sabse pehla Haq ye hai ke uskey liye sabse Acchi Maa ka intekhab kiya jaye.”

tou ye sabse Aham cheez hai Aulaad ki Tarbiyat me uske liye acchi Maa ka intkhab kare aur zahir si baat hai ke jo insan apne liye Acchi Biwi talab karega fir wo bhi tou uska Mustahik hoga yaani Nek aur Deendar Sifat ka Haamil hoga.

Lihaja jo log chahtey hai ke unki Aanewali Naslo ki Tarbiyat Kitabo Sunnat ke mutabik ho tou Nikaah se pehle hi Ghar ke Zimmedar apni Beti ke liye accha Shohar, bete ke liye Acchi Biwi ya khud shakhs apne liye acchi Biwi ka Intekhab karey aur acchi se muraad Deendari hai.

Iske taaluk se Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai:

“ Aurto se Nikah 4 chezo ki buniyad par kiye jate hai, lekin tum Deendari ko thaam lo. ”

- (Bukhari: jild 3, Safa 59)
Yaani Deendar Aurat se Nikaah karke Duniya aur Aakhirat ki kamiyabi hasil karlo aur acchi Nek Sifat Deendar Aurat ko hasil karne ke talluk se Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai :

“ Ye Duniya tamam ki tamam khair ki cheez hai, kamane ki cheez hai aur usme sabse khair jo cheez hai wo hai Nek Aurat (Biwi) ”

- (Sahih Muslim)
Tou apne liye Nek Biwi aur apni Aulaad ke liye Nek Maa ka intekhab ye bohot hi Aham cheez hai. ye apne hone wali Aulaad ki Tarbiyat ka sabse pehla aur Aham Marhala hai.

♥ In sha Allah ul Azeez !
Allah Ta’ala hume kehne Sun’ne se jyada Amal ki taufik dey ..

To be Continue …

Wednesday, May 24, 2023

Beti ki Parwarish




Beti ki Parwarish


Jisey Ladki Ho Aur Wo Usey Zinda Dafan Na Kare, Na Usko Zaleel Samze Aur Na Ladke Ko Uss Par Ahmiyat De Tou Allah Ta'ala Usko Jannat Me Dakhil Karega..

Abu Dawood, Jild 3, Bab 548, 
Hadees 1705, Safa 616