Saturday, March 23, 2024

Biwi k huqooq





Aurto ka Haq Mardo par waisa hi hai jaisa Dastoor ke Mutabiq (Mardo ka haq) Aurato par hai, Al batta mardo ko unn par fazeelat hasil hai.

(Quran 2:228)



Koi Momin Mard, Momina Aurat, Yaani Apni Biwi se Bhugz (nafrat) na rakkhe, kyunki agar Us sey uss ki koi Aadat Napasand hai tou koi dusri pasand bhi hogi. 
(Muslim 1467)



Isi Tarha Allah Ke Rasool (ﷺ) ki Aahadees me farmaya ki,
Aurato se behtar Sulook karo kyunki Aurat pasli se paida ki Gayi hai aur pasli ka sab se zyada tedha hissa woh hai jo uska buland hissa hai.. Agar tu Usey Seedha karne lage ga tou Usey Thodh dega aur agar Chodh dega tou Tedhi hi Rahegi, Lihaza Aurto se Accha Sulooq karo.

(Bukhari 3331)



Aur dastoor ke Mutabiq Tumhari Biwiyo ki khuraaq aur Phoshaaq tumhare Zimme hai. (Hadith: Abu Dawud 1905)


Jis ki Do Biwiya ho aur woh Unn me se Ek ki taraf hi Mayeel (Atract) ho tou woh Qayamat ke Din is Haal me Aayega ke uska Ek Pehlu Jhuka hoga" (Hadith: Abu Dawud 2133)

Albatta woh umoor jinn me adal mumkin na ho jaise Mohabbat aur Dil ki Khushi tou in par khawind par khuch gunah nhi.


Rasool Allah (ﷺ) se phucha gaya ke biwi ka mard par kya haq hai tou aap ne farmaya ke,
Jab tu khana khae tou Usey khana khila aur ja tu Pehne tou Usey bhi Pehnna aur uske Muuh par na Maar, Usey bura bhala Kahe na Uss se Qata Talluq kar magar yeh ke Ghar ke Andar Andar.
 (Abu Dawud 2142)

Yaani kisi baat par Naraaz ho tou Usey Ghar se Dusri jagah na bhagao



Rasool Allah (ﷺ)ne farmaya ke,
Aye Allah! yeh meri taqseem aise muamle me hai jis me mera ikhtyaar hai aur jiss baat me tera ikhtyaar hai, mera nahi uss par mujhey malamat na farmana. 
(Hadith: Abu Dawud 2134)


Agar tum chaaho bhi to apni Biwiyo ke Darmiyaan Adal na kar sakoge.

(Quran; Surah Nisa; 4:129)


Allah Rabbul Izzat Quran-e Kareem me farmata hai:
Aur Biwiyo ke saath Acchi tarah raho saho.

(Quran 4:19)