Friday, June 5, 2026
Padosi ko takleef na pahuncha
Hadees: Padosi ko takleef na pahuncha
• Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya "Jo koi Allah aur Aakhirat ke din par Iman rakhta hai wo Apne Padosi ko takleef na pahunchaye." -
(Bukhari 6018)
"Padosi ko takleef na pahuncha" ka matlab hai ke apne padosi ko kisi bhi tarah se dukh, pareshani, ya nuqsaan na dena.
Iska matlab sirf fizikal takleef dena nahi, balki kisi bhi amal se padosi ki zindagi mein mushkil paida na karna hai, jaise ke:
1. Unhe shor macha kar tang na karna.
2. Padosi ki izzat aur maal ka hifazat karna.
3. Unki zarurat mein madad karna aur unhe kabhi akela mehsoos na hone dena.
4. Unke haqooq ka khayal rakhna.
Yeh hadees yeh samjhati hai ke ek sacha momin apne aas-paas ke logon, khaaskar padosiyon ke saath husn-e-sulook se pesh aata hai.
Rizq mein Barkat
" Nikaah krne se Allah Ki taraf se aapke rizq me izafa hojata hai"
Yani, jab aap nikaah karte hain, tou Allah ki taraf se aapke maali aur aashiyaan (rizq) mein izafa hota hai. Ye baat isliye hai kyun ke nikaah Allah ki khushi aur barkat ka zariya hota hai, aur is se insaan ki zindagi mein khushiyan aur rahmat aati hain.
Kounse Padosi ka haq sabse jyada hai
Hadees: Kounse Padosi ka haq sabse jyada hai
Ummaha-tul-Momineen Aayesha (R.A.) se riwayat hai ki maine pucha "Ya Rasool'Allah (ﷺ) ! Mere do Padosi hai, Unmein se kiskey paas mai Hadiya (Tohfa) bheju ?" Tou Aap (ﷺ) ne farmaya " Jiska Darwaza tujhse jyada Qareeb hai "
(Sahih Bukhari 2259)
Sabse qareebi padosi : Jo padosi aap ke ghar ke sabse qareeb hai, uska haq sabse zyada hai. Islam ne padosi ko ek aham darja diya hai aur sabse qareebi padosi ke huqooq aur zimmedariyan aur zyada ho jaati hain. Yeh isliye bhi hai kyunki qareebi padosi aapki zindagi mein zyada raabta mein rehta hai aur agar koi mushkil ya madad ki zarurat ho, woh sabse pehle haqdar hai.
Huqooq ka matlab : Aapke qareebi padosi ka haq hai ke aap unka khayal rakhain, unhein koi takleef na pahunchaain, aur agar zarurat pade toh unki madad karain. Agar unhe koi takleef ya mushkil ho, toh aapko uske hal mein madad deni chahiye.
Wednesday, June 3, 2026
Shaitan to yahi chahta hai ke Sharab aur Juwe ke jarye Dushmani ....
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
"Shaitan to yahi chahta hai ke sharab aur juwe ke jarye tumhare darmiyan Dushmani aur Bugz ke beez daal de aur tumhe Allah ki Yaad aur Namaz se rok de!
📕 Surah Maida 5:91

