Saturday, August 31, 2024
Wednesday, August 21, 2024
Salaam me Mukhtalif Lafzo ke Mayne
Salaam me Mukhtalif Lafzo ke Mayne
» Assalaam-U-Alaikum - (Tum Par Allah Ki Salamti Ho).
» Salamalai-Kum - (Tum Barbad Ho Jao).
» Asaam-O-Alaikum - (Tum Ko Maut Aa Jaaye).
» Assa-e-Kum → (Tum Khushi Ko Tarso).
» Slam-Le-Kum - (Tum Pe Laanat Ho).
» Note: Plz Make Aware All Other Muslims.
Salaam ka Charcha karo aur Khana Khilao
Salaam ka Charcha karo aur Khana Khilao
Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai -
"Aye Logon! Tum Salaam Ka Charcha Karo aur (Logo ko) Khana Khilao aur Rishtedaro Ke Saath Achcha Sulooq Karo aur Raato Ko Jab Sab Log So Rahe Ho tou Tum Namaze Padho, Tum Aisa Karoge Tou Salamati Ke Saath Jannat Me Dakhil Ho Jaoge." -
(Mishkat al-Masabih, 1907)
Salaam Allah Ke Naamo Me Se Ek Naam Hai
Salaam Allah Ke Naamo Me Se Ek Naam Hai
Mafhoom-e-Hadees : Abdullah Bin Masud (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Nabi-e-Rehmat (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshaad Farmaya - "Salaam Allah Ke Naamo Me Se Ek Naam Hai Jisko Allah Ne Zameen Par Utaara Hai.
Lihaza Usko Aapas Me Khub Failao Qunki Musalman Jab Kisi Qoum Par Guzarta Hai Aur Unko Salaam Karta Hai We Usko Jawaab Dete Hai,
Tou Unko Salaam Yaad Dilane Ki Wajah Se Salaam Karne Walo Ko Uss Qaum Par Ek Darja Fazilat Hasil Hoti Hai Aur Agar We Jawaab Nahi Dete Hai Tou
Farishte Jo Insan Se Behtar Hai Usko Salaam Ka Jawaab Dete Hai". -
(Mafhoom: Tabrani, Targib, Bajjar)
Salaam Me Pehal Karne Wala Ghamand Se Paak
Salaam Me Pehal Karne Wala Ghamand Se Paak...
Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai ke -
"Salaam Me Pehal Karne Wala Ghamand Se Paak Hai".
📕 (Mishkat Sharif, Jild 2, Page-684, Hadees-
4434)
*Hiqmat: Yaad Rakhiye Ek Ghamandi Insan Hi Dusro Ko Apne Se Kamtar Samjhta Hai
Isiliye Wo Logon Se Dua Salam Karne ke Bajaye Ummid Karta Hai Ke Log Uss Se Dua Salam Me Pehal Kare ..
*Aur Afsos Ki Baat Hai ! Aaj Musalmano Me Chand Fikri Ikhtelaf Ki Buniyad Par Dua Salam Na Karne Ki Talim Di Jaati Hai
Goya Ummat Me Intehar Failaya Jaa Raha Hai .
Ke Salam Mat Karo Aur Naa Hi Salam Ka Jawab Do ,.. (Subhan'Allah)
Jabki Rasool'Allah ne tou Salam Ko Aam Karne Ki, Salam Me Pehal Karne Ki Talim Di Ummat Ko..
Allah Hum Sabko Hidayat Dey ,..
# Ab Sawal ye Aata Hai Ke - Kya Saqda Dene Wala Aur Allah ki Raah me Shahid Hone Wala Ghamand se Paak nahi hota?
» Tou Yakinan Yaad Rakhiye Sadqa Khairat karna Aur Allah Ki Raah Me Shahid hona Bohot Hi Bada Martba Rakhta hai Allah Ke Nazdeek ..
- Agar Iss Amal Me Ikhlaas ho Tou Wo Allah ke Nazdeek Qabile Qabul hai,..
- Aur Agar Inme Riya(Showing Off) Shamil Ho Jaye Tou Amal Bekar Hai,.
# Lekin Salam me Pehal Karne Wala Iss Liye Ghamand Se Paak hai
Kyunki Wo Samne Wale Farig Ko Apne Se Kamtar Nahi Samjhta ,..
- Tou Beharhaal Hum Tamam Ko Chahiye Ke -
*Jo bhi Amal Karey Iss Niyat se kare ke Allah ke Nazdeeq Qabil-e-Kabool ho..
*Ikhlaas ke Sath Aur Riya-Wa-Ghamand Se Apni Niyato ko Paak Rakhtey hue Kare . Beshaq Zaza Aur Saza Dene Wala Allah Hum Tamam Ki Niyato Se Bakhabar hai,..
In sha'Allah-Ul-Azeez !!! Allah Ta'ala Hume Kehne Sun'ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey ,...
Salam me pehal wo hi karta hai jo Allah se Qareeb ho
Salam me pehal wo hi karta hai jo Allah se Qareeb ho
Abu Umamah (R.A) se Riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) se kisi ne puchha ke jab Aadmi ek doosre se mile tou un dono me se koun pehle Salaam kare?. Aap (ﷺ) ne farmaya: "Jo un dono me Allah ke Nazdeek Zyada Behtar ho."
📕 Jami at-Tirmidhi 2694
Hadith: Salam Karne wala Allah se sabse Jyada Qareeb hai
Abu Umamah (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah ﷺ ne Irshad farmaya: "Wo Aadmi Allah ke Zyada Qareeb hai Jo Salaam karne me pehal karta hai."
📕 Sunan Abi Dawud 5197
Imaan aur Sharab Kabhi Bhi Ek Jagah Nahi Reh Sakte
Imaan aur Sharab Kabhi Bhi Ek Jagah Nahi Reh Sakte
Mafhoom-e-Hadees: Uthman ibne Affan (RaziAllahu Anh) Se Riwayat Hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, Imaan Aur Sharab Kabhi Bhi Ek Jagah Nahi Reh Sakta,
Imaan Hai Tou Sharab Nahi, Sharab Hai Tou Imaan Nahi."
📕Sunan Al Baihaqi, Hadees No. 8/287, 288 (Sahih) -
📕Tafseere Ibne Kaseer, Surah Mayedah (Surah No. 5), Ayat 91 Ka Tafseer
– Khair is Se Muraad wo Sidha Kafir nahi - hua. yani uspar Kufr ka Fatwa dena jayaz nahi,. lekin usne kufr wala Amal jarur kiya hai ,..
*Allah Rabbul Izzat hum sabko bachaye iski khabahat se .
Jo bhi Peene waali Cheez Nasha Laaye wo Haraam hai
Hadees : Jo bhi Peene waali Cheez Nasha Laaye wo Haraam hai.
Hadees : Ummha-tul-Mominin Aayesha (RaziAllahu Anha) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya -
"Jo bhi Peene Waali Cheez Nasha Laaaye wo haram hai."
📕 Sahih Bukhari, Vol 1, 242
Allah Ta'ala Quran-e-Kareem me farmata hai
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
"(Aye Rasool!) Aap se log Sharaab aur Juye (Gambling) ke baare me puchte hai tou Aap Unsey keh Dijiye ke in me badaa Gunaah hai aur Logon ke liye kuch faydey bhi hai aur unka Gunaah unke Nafaa se bahut bada hai."
📕 Al-Baqara 2:219
Fazilat-e-Salaam
Fazilat-e-Salaam
Mafhoom-e-Hadees : Abdullah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – "Salaam Me Pehal Karne Wala Ghamand Se Paak Hai".
Mafhoom-e-Hadees : Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – "Ghar Me Jaao Tou “Salaam" Karo Ye Tumhare Liye aur Tumhare Ghar Walon Ke Liye Barqat Ka Sabab Hoga".
Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
"Aur Jab Koi Tumhen Dua Salaam Kare Tou Usko Uss Se Behtar Dua Do Ya Phir Usi Tarah Ke Alfaz Keh Do."
📕 A-Quraan: Surah: Nisa – Ayat: 86
- (Mishkat Sharif, Jild 2, Page-684, Hadees-4434)
- (Jaame Tirmizi H:2707)
Apni Zaban Ko Narm Guftagu aur Salaam Ke Aadi Banao, Kyu Ki Isse Tumhare Dost Ziyada aur Dushman Kam Honge"
- Hazrate Ali(RaziAllahu Anhu) -
Shaitan to yahi chahta hai ke Sharab aur Juwe ke jarye Dushmani ....
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
"Shaitan to yahi chahta hai ke sharab aur juwe ke jarye tumhare darmiyan Dushmani aur Bugz ke beez daal de aur tumhe Allah ki Yaad aur Namaz se rok de!
📕 Surah Maida 5:91
Qasam ka Kaffara
Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!
Allah Tumhe Nahi Pakdta Galatfehmi Ki qasam Par, Haa! Unn Kasmo Par Pakad Farmata Hai Jinhe Tumney Mazbut Kiya Ho, Tou Aesi Qasam Ka Badla 10 Miskeeno Ko Woh Khana Khilana Jo Tum Apne Ghar Me Apne Liye Pasand Karte Ho, Ya Unhe Kapde Dena, Ya Ek Ghulaam Aazad Karna. Tou Jo Inme Se Kuch Na Kar Paye Tou 3 Din Ke Roze Rakhe. -
📕 Al-Ma'ida, Ayat 89
Sabak : Lihaza Apni Qasmo Ki Hifazat Karo Aur Bila Zarurat (Yaani Choti Choti Ya Mamuli Baat Par) Qasme Na Khaya Karo, Jab Intehayi Zarurat Pad Jaye Tab Hi Qasam Khao Aur Usey Waade Ke Mutabik Har Haal Me Pura Karo Aur Usey Pura Na Kar Pao Tou Uss Qasam Ka Kaffara Ada Karo.
Sharaab, Juwa Napaak Aur Shaitani Kaam ...
Sharaab, Juwa Napaak Aur Shaitani Kaam
Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman- Nirrahim !!
"Aye Emaanwalo! Sharaab, Juwa Aur Buth Aur Paase Tou Bas Napaak(Burey) Shaitani Kaam Hai Tou Tum Log Iss' Se Bache Raho Taaki Tum Falah (Kamiyabi) Pao".
📕 Surah Al-Maidah, Ayat-90
» Juwa Ki Ta'arif (Meaning): Har Wo Khel Jisme Yeh Shart Ho Ki Nakaam Hone Wale Ki Koi Cheez Jeetne Wale Ko Dee Jayegi Yeh Juwa Hai.
Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega, woh.....
Ash'as bin Qais (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool ne farmaya :
"Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega, wo Allah k samne kodhi(leprosy) ho kar pesh hoga.
📕Abu Dawood 3244
Behtar Aawaaz Me Salaam Kiya Karo
Behtar Aawaaz Me Salaam Kiya Karo
Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Allaihi Wasallam) Ne Farmaya: "Jab Tum Me Se Koi Shakhs Apne Islami Bhai Ko Miley, Tou Usko Salaam Kare, Aur Agar Unke Darmiyan Darakht, Deewar Ya Patthar Wagairah Koi Cheez Ki Aad Ho Jaye Aur Wo Shaqs Dobara Miley, Tou Dobara Salaam Kare".
(Abu Dawud)
» Mas'ala: Salaam Itni Awaz Se Kahe Ki Jisko Salaam Kiya Hai Wo Sun Le Aur Agar Itni Agwaz Na Ho Tou Jawab Dena Wajib Nahi, Jawabe Salaam Me Bhi Itni Awaaz Ho Ki Salaam Karne Wala Sun Le Aur Agar Itna Ahista Kaha Ki Wo Sun Na Saka Tou Wajib Sakit Na Hua, Aur Agar Wo Behera Hai Tou Uske Samne Hoth Ko Jumbish De Ki Uski Samajh Me Aa Jaye Ki Jawab De Diya! Chik Ke Jawab Ka Bhi Yahi Hukm Hai !!! -
(Kanoon-e-Sharyat Page No 478)
Saturday, August 17, 2024
Hadith of the day
Hadith of the day
Umm Kulthum bint 'Uqbah (May Allah be pleased with her) reported: Messenger of Allah (ﷺ) said, 'The person who (lies) in order to conciliate between people is not a liar, when he conveys good or says (something) good". The narration in Muslim added: She said, "I never heard him (she meant the Prophet (ﷺ)) giving permission of lying in anything except in three (things): war, conciliating between people and the conversation of man with his wife and the conversation of a woman with her husband".
[Al-Bukhari and Muslim, riyad as-salihin 249]