Wednesday, August 21, 2024

Imaan aur Sharab Kabhi Bhi Ek Jagah Nahi Reh Sakte

Imaan aur Sharab Kabhi Bhi Ek Jagah Nahi Reh Sakte


Mafhoom-e-Hadees: Uthman ibne Affan (RaziAllahu Anh) Se Riwayat Hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, Imaan Aur  Sharab Kabhi Bhi Ek Jagah Nahi Reh Sakta, 
Imaan Hai Tou Sharab Nahi, Sharab Hai Tou Imaan Nahi." 
📕Sunan Al Baihaqi, Hadees No. 8/287, 288 (Sahih) -
 📕Tafseere Ibne Kaseer, Surah Mayedah (Surah No. 5), Ayat 91 Ka Tafseer

#Wajahat: Yaani Imaan wala kabhi Sharab nahi pi sakta, aur agar wo Sharab pi le tou ab wo Imaan ke Dayre se nikal gaya jabtak ke sharab ke nashe se bahar na aajaye ,.
– Khair is Se Muraad wo Sidha Kafir nahi - hua. yani uspar Kufr ka Fatwa dena jayaz nahi,. lekin usne kufr wala Amal jarur kiya hai ,..

 *Allah Rabbul Izzat hum sabko bachaye iski khabahat se .
Previous Post
Next Post

0 Comments: