Friday, January 12, 2024

Dua for Anxiety



Allaahumma 'innee 'a'oothu bika minal-hammi walhazani, wal'ajzi walkasali, walbukhli waljubni, wa dhala'id-dayni wa ghalabatir-rijaal

O Allah, I seek refuge in you from grief and sadness, from weakness and from laziness, from miserliness and from cowardice, from being overcome by debt and overpowered by men

Al-Bukhari: 2893, 5425, 6363, 6369

Thursday, August 3, 2023

Bechain Dil Ko Sukun Kaise Milega?



Bechain Dil Ko Sukun Kaise Milega?


Aaj insan khush rahna chahta hai lekin Zindagi ke kuch masle aur zimmedari ne insan ko bechain kar rakha hai

Aaj har insan depression aur parshani ka shikar hai aur bechain bhot hai

jab bhi apko bechaini aur pareshani sataye fauran zikr e illahi shuru Kijiye

Bechaini se nikalne ka wahid rasta hai zikr e illahi


Quran Surah Al Ra'ad aayat number 43 me khud Allah ne farmaya hai
Tarjuma:- Beshak Allah ki Zikr se hi Dilo ko sukun milta hai

Aur jab Quran me khud hai toh beshak yeh baat yaqinan sahi hai


Aap ek chota sa kaam kare ek din full volume me headphones laga kar song suniye, aur aapke ander kya mahsoos hoga

Aur phir YouTube se Surah Rahman Ya Surah Yaseen headphones se full volume me sune aur apne ander aap khud ek sukun mahsoos Karenge jo song sunte waqt nahi horahi thi

yeh ek kaam karke dekhe aur comment
me bataiye ta ke iss se sabko fayda hoga


Jab bhi apka dil bechain ho ya future ki fiker sataye, fauran wazu kare 2 rakat nafil namaz aada kiiye aur Kasrat se yeh aayat padhiye 
Iss ziker me bhot badi taqat hai aur iski bhot fazilat hai. lehaza jab bhi pareshani ya fiker mahsoos ho toh yeh kasrat se padhe


Fiker Aur pareshani ko jayada na soche muskhil halat jayda nahi rahte wo ek na ek din Khushiyon me badal hi jate hai

Lehaza ab jab bhi koi pareshani ya fiker ho toh sabr, namaz aur ziker e illah Kijiye

Beshak Dilo ka sukun aur bechain dilo ka sukun Allah ke Ziker me hi hai

Iss post ko jayada Se jayada logo ko send kijiye aur sawab k haqdaar baniye 

Tuesday, July 11, 2023

बेचैनी की दुआ





لا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنْتُ مِنَ الظَّالِمِينَ

La ilaha illa anta subhanaka 
innee kuntu mina-zalimeen.

तेरे सिवा कोई भी इबादत के लायक़ नहीं, 
तू पाक है। बेशक में ही जालिमों में से था।

TIRMIZI 5/529, HADITH: 3505

Tuesday, March 7, 2023

"तलबीना"




 नबी करीम (ﷺ) ने फ़रमाया : -

"तलबीना" (सूजी, दूध और शहद मिला दलिया)

दिल के मरीज़ के लिए राहत बख्श और गम को हल्का करने वाला है।

MISHKAT #4197