Tuesday, January 27, 2026
Sunday, November 16, 2025
Baap k beghair zindagi adhuri hai
"Zindagi mein safalta ki raah par chalne ke liye jis shakhs ka zikr zaroori hai, woh baap hai, kyunki unke bina zindagi adhoori lagti hai."
Yeh kehna hai ke ek baap ka zindagi mein hona aur unka saath dena kamiyabi ke liye bahut zaroori hai. Baap ke bina zindagi adhoori aur adhuri mehsoos hoti hai, kyunki unka pyar, rehnumai (guidance), aur hifazat har kadam par zaroori hoti hai.
Monday, August 25, 2025
Beti ka Rishta
Beti Ka Rishta
"Shaadi ke liye ladke ko uske deen, yani uski achi aadatein aur imaan ko dekh kar chunna chahiye, paisa ya duniya ke cheezon ko dekh kar nahi. Kyunki agar ek deen daar insaan ka apni biwi ke saath achhe se ban na bhi ho, toh bhi wo Allah ka dar rakhte hue us par kabhi zulm nahi karega."
Yeh kehna hai ke ek accha aur Deen daar insaan kabhi galat nahi karega, chahe uska apni biwi ke saath mizaaj match na bhi kare.
Sunday, July 20, 2025
Friday, April 4, 2025
Monday, March 3, 2025
Sunday, February 23, 2025
Saturday, February 15, 2025
Walid (Baap) Jannat ka Markazi Darwaza hai
Abu Darda (R.A) farmate hai ke,
Maine Allah ke Rasool (ﷺ) ko ye farmatey huye suna,
“Walid (Baap) Jannat ka Markazi Darwaza hai, Ab ye Tumhari Marzi hai ke Tum Iss Darwazey ko Zaya Karo (Yaani Iss Ko Naraaz kar ke Jannat se Mehroom bano) ya Iski Hifazat karo (Yaani Iss ki Khidmat ke Raste se Jannat me Dakhil ho jao.)”
📕 Jameh Tirmazi: 1900,
📕 Sunan Ibne Majah: 2089,
📕 Musnad Ahmed: 4456
Monday, January 27, 2025
Wednesday, December 18, 2024
Friday, November 22, 2024
Thursday, October 31, 2024
Walidain ke Nafarman ki Sazaa
۞ Apne maa baap ko uff bhi na kaho
Aur tumharey Rab ne farmaya hai ki uskey siwa kisi ki ibadat na karo aur Maa baap (parents) ke Saath Bhalaii (neki) kartey raho aur agar tumharey samney unmein se ek ya dono budhapey ko pahunch jaye to unhey UFF bhi na kaho aur na unhey jhidako aur unsey Adab se baat karo aur unkey samney Shafqat se Aajazi ke saath jhukey raho aur kaho ki Aye Mere Rab jaisey unhoney (mere maan baap ne) mujhe Bachpan se paala hai isi tarah tu bhi un par reham farma”
📕 Surah Al-Isra 17:23-24
✦ Hadith : Abu Abdur-Rahman As-Sulami Rivayat kartey hain Abu Darda (R.A) se ki unhoney kaha RasoolAllah (ﷺ) ne faramaya “Walid (father) jannat ka darmiyana (beech ka) darwaza hai, isliye teri marzi usey zaya kar ya mehfooz rakh.”
📕 Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1959-Hasan
✦ Hadith : Abdullah ibn Umar (R.A) se rivayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya “Allah Subhanahu ki Raza walid (ya Walidain) ki khushi mein hai aur Allah Subhanahu ka Gussa Walid (ya waldain) ki narazgi mein hai”
📕 Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1960-Hasan
✦ Hadith : Anas (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) se badey (kabira) Gunahon ke baarey mein pucha gaya tou Aap (ﷺ) ne farmaya:
(1) Allah ke saath kisi ko Sharik karna,
(2) Waaldein ki nafarmani karna,
(3) Kisi ki Nahaq jaan lena ,
(4) aur Jhooti Gawahi dena. (ye sab Kabira Gunah hain)
📕 Sahih Bukhari, Vol 4, 2653
