Thursday, October 31, 2024

Abbu jaan



Apne baap ko muskura kar roz gale lagaya karo
 Yaqeen karo woh boodha shakhs tumhen Hamesha jawaan dikhega

Walidain ke Nafarman ki Sazaa




۞ Apne maa baap ko uff bhi na kaho

Aur tumharey Rab ne farmaya hai ki uskey siwa kisi ki ibadat na karo aur Maa baap (parents) ke Saath Bhalaii (neki) kartey raho aur agar tumharey samney unmein se ek ya dono budhapey ko pahunch jaye to unhey UFF bhi na kaho aur na unhey jhidako aur unsey Adab se baat karo aur unkey samney Shafqat se Aajazi ke saath jhukey raho aur kaho ki Aye Mere Rab jaisey unhoney (mere maan baap ne) mujhe Bachpan se paala hai isi tarah tu bhi un par reham farma”

📕 Surah Al-Isra 17:23-24



✦  Hadith : Abu Abdur-Rahman As-Sulami Rivayat kartey hain Abu Darda (R.A) se ki unhoney kaha RasoolAllah (ﷺ) ne faramaya “Walid (father) jannat ka darmiyana (beech ka) darwaza hai, isliye teri marzi usey zaya kar ya mehfooz rakh.”

📕 Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1959-Hasan




Hadith : Abdullah ibn Umar (R.A) se rivayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya “Allah Subhanahu ki Raza walid (ya Walidain) ki khushi mein hai aur Allah Subhanahu ka Gussa Walid (ya waldain) ki narazgi mein hai”

📕 Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1960-Hasan




Hadith : Anas (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) se badey (kabira) Gunahon ke baarey mein pucha gaya tou Aap (ﷺ) ne farmaya:
(1) Allah ke saath kisi ko Sharik karna, 
(2) Waaldein ki nafarmani karna, 
(3) Kisi ki Nahaq jaan lena , 
(4) aur Jhooti Gawahi dena. (ye sab Kabira Gunah hain)

📕 Sahih Bukhari, Vol 4, 2653

Baap




"FATHER'S DAY SPACIAL"

 Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya : 
 "Koi Beta Apne Baap ke Ahsaan ka Badla nahi chuka sakta "

(Sunnan Abu Dawood 52371)

Maa Baap ko Satane wale....




Nekiyan jitni bhi ho 
kaam nahi ayengi 
Hashr Mein pachtayenge Maa Baap ko Satane wale...

Zindagi Ka Sabse Khubsurat Lamha




Zindagi Ka Sabse 
Khubsurat Lamha Woh Hota Hai 
Jab Koi Aapko Kehta Hai 
I Know Your Father 
He is a Great Man

Maa-Baap K Sath Adab aur Ehteraam Se Baatcheet Karna



Na Unhein (Yani Maa-Baap Ko) Daant Dapat Karna Balki Unke Sath Adab aur Ehteraam Se Baatcheet Karna.

Quran, 17:23

Ameen



Kaash Waliden Kabhi Bodhe Na Ho
Bimaar Na Ho, Gamgeen Na Ho..!

Ameen 

Monday, September 23, 2024

Maa Baap ko budhapa kamzor nahi karta


"Maa Baap ko unka budhapa kamzor nahi banata, balki unke bachon ka unke saath bura sulook (rawaiya) unhein kamzor kar deta hai."


Yani, maa baap ko sabse zyada dukh unke bachon ke galat rawaiye se hota hai, na ki unki umar ke badhne se. Agar bachay unki izzat na karein, ya unka khayal na rakhein, to maa baap andar se toot jaate hain.