Friday, July 14, 2023

Chugli karne ka Anjaam



Chugli karne ka Anjaam


Geebat kya hai

Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya

Tum jaante ho geebat kya hai ? logo ne kaha ki Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihi wasallam hi khub jante hain, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Geebat ye hai ki tum apne bhai ka zikr is tarah karo ki (agar wo samne hota to) usko bura lagta, logo ne kaha ki Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam agar hamare bhai mein wo aib mojud ho to, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya (aib mojud ho ) wo hi to geebat hai

Agar usmein wo mojud na ho to wo bohtan hai Sahih Muslim, Jild 6, 6593


Quran ka Paigam

Eh Imaan walon zyada badgumaniyon se bachte raho kyunki kuch guman gunah hain aur jasusi na kiya karo aur na hi ek dusre ki gheebat kiya karo kya tum mein se koi ye pasand karta hai ki apne murda bhai ka ghosht khaye? isko tum napasand karoge (to phir gheebat bhi na karo)aur ALLAH se daro beshak ALLAH bada tauba qubul karne wala aur nihayat raham wala hai

Al Quran, Al-Hujraat, (49), Verse 12


Jo Muslmano ke aibo ke peeche padega Allah usay uske ghar mein ruswa kar dega

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Muslmano ki gheebat na karo, unke aibon ke peeche na pado, isliye ke jo unke aib ke peeche padega Allah Subhanahu Uske aib ke peeche padega aur Allah Subhanahu Jiske aib ke peeche padega usay uske ghar mein zalil aur ruswa Kar dega

Sunan Abu Dawud Jild 3, 1450 -Hasan

Ummat ke behatreen aur badtareen log

Abu malik ashari radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya iss ummat mai se Allah ke behtreen bande wo hai ke jinhe dekh kar Allah subhanahu yaad aa jata hai, aur iss ummat ke badtareen log wo hain jo chugal khor hain aur jo dosto (ya muhabbat karne walo) ke beech mein judayee karwate hain aur jo bequsur (pak daman) logo par gunaho ka ilzam lagate hain.

Al-Silsila-tus-Sahiha-3412

Chugalkhor Jannat m Nahi jayega

Huzaifa Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya chugalkhor (Geebat karne wala) jannat mein nahi jayega Sahih Muslim, Vol 1, 290 (Kitab Al-Imaan)