Saturday, April 6, 2024

Lailatul Qadr Mein Kya Ibadat Karen



Lailatul Qadr Mein Kya Ibadat Karen ??


Lailatu Qadr Ki koi bhi Maqsoos (particular) ibadat hadees se sabit nahi hai, App jo chaho jitna chaho ibadat kar sakte ho.

Yaad rahen app is raat jo bhi amal karoge wo haazar maheene ke barabar karne ka sawab milega...So koshish karen zyada se zyada ibadat karne ki. Naa sirf taaq raaton mein balki ye dus din bhi apna waqt ibadat mein lagayen, Allah ko raazi karen...Allah hum sab ko amal karne ki taufeeq ata farmaye

1. Pehli baat to ye 3 Ashra hai jo jahannum se azaadi ka hai to Is dua ko kasrat se padhen

Allahumma Ajirnee Minan Naar
Aye Allah mujhe dozakh ki aag se bacha


2. Lailatul Qadr ki dua ko kasrat se padhen

Allahumma innaka afuwwun tuhibbul afwa fa'fu annee

"Ya Allah Tu Maaf Farmaane Wala Hai, Maaf Karna Pasand Karta Hai, Lihaza Mujhe Maaf Farma"



1. Farz Namazon ke alawa nafil Namazen ada karen (salatul Haajat, salatul Tasbeeh etc)

2. Qaza Namaz ada karen

3. Quran shareef ki tilawat karen

4. Kasrat se zikr karen... Astagfaar karen, apne gunahon ki maafi maangen, jahannum se

panah maange

5. Sadqa khairat karen

6. Khoob Dua karen apne liye aur saari ummat ke liye



 Isha aur Taraweeh ada karen (Taraweeh poore 20 rakat ada karen), uske baad shaam ko jo surah's padhi jaati hai wo padh len

a. Surah Yaseen
b. Surah Ar Rahman
c. Surah Mulk
d. Surah Sajdah
e. Surah Waqiya
f. Surah Muzammil
g. Surah Tagabun
h. Surah Baqara ki Aakhri do ayaten
i. Surah Ali imran ke akhri 10 ayat (Ayat 191-200, Inna fee qalqis samawaati wal arz se akhri ayat tak)
j. Surah hashr ke Akhri 3 ayaten



4. Kasrat se zikr karen (kalma, darood shareef, Astagfaar etc)

5. Surah ikhlaas (Qul Huwal laahu ahad) 100 martab padhen, jitna ho sake utna padhen, kyunki surah ikhlaas ek maraba padhne se tihayi (1/3) quran padhne ka sawab milta hai...Agar hum ne isko laylatul qadr ki raat padha to hazar maheene ke barabar padhne ka sawab milta hai (subhanallah)

6. Jitna ho sake qaza namazen ada kare


7. Nafil namazen ada karen jaise salatul Tasbeeh, salatul Haajat, salatul tauba etc...Inke alawa 2-2 rakat karke jitni chahe utni nafil ada kar sakte hain...Agar sirf 2 rakat nafil ada kar liye to hazaar mahine ke barabar padhne ka sawab milta hai

8. Laylatul qadr ki raat Quran shaarif Lauhe mehfooz mein nazil hua. To app zyada se zyada quran shareef ki tilawat karen, jinka bhi quran incomplete hai abhi tak, wo in 10 dino mein complete karne ki koshish karen



9. Tahajjud namaz ada karen. (Koshish karen poore 12 rakat ada karne ki). Aur in 10 dino mein Tahajjud Namaz naa choden, Tahajjud ki Namaz aur Duaon mein bahut taqat hoti hai. Agar apne laylatul qadr ki raat tahajjud namaz ada ki to hazaar mahine tahajjud namaz padhne ka sawab milega. Subhanallah

10. Apne Sajdon ko lamba karen. Insan Allah ke sabse zyada qareeb sajde ki haalat mein hota hai

11. Apni duaon ko lamba karen, Apne liye aur saari ummat ke liye dua kare

13. Akhir mein witr namaz ada kar len kyunki Rasoolullah ne farmaya, "Raat ko apni akhri namaz witr ko banao" (sahih Muslim). Surah Qadr ko bhi kasrat se padhen

14. Sehri kar len, Fajr namaz ada kar len, koshish karen ishraak namaz bhi ada kar len.



Note: Is post mein just suggest Kiya hai ki app ye ibadat Karo. Isme se agar humne thoda sa bhi amal kar liya to bahut badi baat hai. Allah hum sab ko hidayat den, amal karne wala bana den aur Allah hamari saari ki gayi ibadat aur duaon ko qubool farmayen...Ameen 

Aye Emaan walo tum par Roze farz kiye gaye hai


۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Allah ke Naam se Shuru jo nihayat maherbaan aur rahem wala hai.

Tamam tareefe uss Allah Azawazzal ke liye jo tamam zahaano ko banana wala aur usey palney wala hai aur Durood-o-Salaam ho uske aakhri Nabi-e-Kareem (ﷺ) par.

• Ramzan ki Ahmiyat kya hai ?

Sabse pehli baat ke “Kisi cheez ki agar hume Ahmiyat na maloom ho tou fir uska fayda bhi hum nahi utha patey hai.” aur dusri baat ke “kisi cheez ke agar Masail maloom na ho tou uska sahi istemaal bhi hum nahi kar patey hai.”

Usi tarha agar hum “Ramzan” ke Fazail nahi jaan sakenge tou uski Ahmiyat nahi jaan sakenge aur uske Masail nahi janenge tou uska sahih fayda bhu hum nahi utha payenge.

Tou wo Mahina jo Humpar aanewala hai uski kya Ahmiyat hai, uske kya fazail hai In sha Allah is unwan me hum aapki khidmat me mukhtasar sa rakhne ki koshish karenge.

Aayiye Nabi-e-Kareem (ﷺ) aur Sahaba ke liye Ramzan kaise hua karte they wo jaan letey hai, wohi asal mayar(criteria) hai humare liye.

✲ Nabi-e-Kareem (ﷺ) aur Sahaba ke liye Ramzan ki Ahmiyat kya thi ?

Aahadees me aata hai ke “Jo hi Ramzan ka Mahina qareeb aata tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) kamarbasta ho jatey” [Sahih Bukhari , Vol 3, 2024]

Yaani tayyar ho jatey, Sadqe aur khairaat ke liye, Rozo ke liye, Qiamullail ke liye, Zikr-O-Azkar ke liye, Tilawatey Quraan me Ijaafe ke liye tayyar ho jatey.

Har kism ki Ibadati tayyari Aap (ﷺ) ki aur Sahaba ki hoti thi. Jab Ramzan aa raha hai tou unki Zehno me ibadatey ghum rahi hai ke kaise Mere Roze mukammil ho khusu aur khuju ke saath, koi kami na aaye mere Rozon me.

Isi tayyariyo me Sahaba lag gaye, Nabi-e-Karam (ﷺ) lag gaye, Ummaha-Tul-Mominin lag gaye, Sahabiyat lag gayi. pura mu’ashra isi tayyari me laga ke Ramzan me kaisi ibadate ho, kaise mai jyada se jyada ibadatey karu. Ye thi unki tayyari.

Kitna fark hai humari aur unki tayyariyo me ?

  • Humari tayyario me siway Duniya ke aur kuch bhi nahi aur unki tayyariyo me siway Aakhirat ke aur kuch bhi nahi.

Tou ye ek mousam aa raha hai hum par, ek behtareen mouka hume mil raha hai, ek jabardast mahina aa raha Hai.

Lekin ye bohot hi afsos ki baat hai ke is mahine ki aamad par siwaye duniya ke humare zehno me kuch bhi nahi aata.

Aisa kyu hua ? kyu humne Ramzan ki asal ahmiyat nahi jaani ?

Isiliye kyunki humne Ramzan ka asal maksad, iski ahmiyat , iski fazilat aur masail ki hakikat ko jan’na jaruri na samjha! jiski wajah se haq dhire dhire humari zindagiyo se faramosh hota gaya sur jahalat hum par aati rahi.


--------+-------+--------+---------+---------+--------+--------+

• Roze ka Asal Maksad kya hai ?
Allah Rabbul Izzat Qurane Kareem me farmata hai:

“Aye Emaan walo tum par Roze farz kiye gaye, jaise tumse pichli Ummato par humne farz kiye they ta’ake kahi tum Taqwa(Parhezgaari) ikhtiyar karo.” [Surah Baqrah 2:183]
Tou Taqwa Roze ka maksad hai, Taqwa Ramzan ka asal maksad hai, Taqwa Roze ka paigaam hai, Taqwa Ramzan ka paigaam hai.

Aur Allah Rabbul Izzat ne baar-baar is paigaam ko dohraya aur kaha: “Aye wo logo jo imaan laye ho Taqwa (Parhezgaari) ikhiyar karo” aur ye aayat Quraan me baar–baar repeat hui hai.

Tou gour karne wali baat hai ke Taqwa yaani Allah ka darr jo ki bohot hi Ahmiyat waali baat hai jiska paigam hume diya gaya.

Isiliye Kyunki: Allah ka darr jab insan me aa jata hai tou Insan Haram aur Halal ki tameez karne lagta hai, Deeno Shariyat aur Duniyawi fizul kaamo me fark karne lagta hai, Duniya par Aakhirat ko tarzi deney lagta hai, dhokeybazi, jhooth, Zina, Sharab, juwa aur tamam buri khaslato se ahtiyat karta hai.

Tou In sha Allah-Ul-Azeez! is Unwan me hum Ramzan ki Ahmiyat aur Fazilat ke taaluk se mukhtasar sa bayan karne ki koshish karenge. Baraye meharbani isey jyada se jyada share karne me humara tawoon farmaye.

To be continued …

NEXT