Monday, April 22, 2024

Sote Waqt ki Sunnatein



1. Isha Ke Baad Jaldi Sone Ki Fikr Karna, Duniya Ki Baat Na Karna.
(Bukhari: 599)

2. Ba Wuzu sona 
(Bukhari: 6311)

3. Teen Martaba Bistar Jhaad Kar Sona.
(Bukhari: 7393)

4. Teen Teen Salaai Surma Lagaana. 
(Tirmizi: 2048)

5. Teen martaba istigfaar "Astagfirullaahal 'azeemallazee laa ilaaha Illaa Huwal Haiyyul Qaiyyoomu Wa Atoobu ilaih" Padhna. 
(Tirmizi: 3397)

6. Tasbeeh-e-Faatimi Subhanallah 33 martaba, Alhamdulillah 33 martaba, Allahu akbar 34 martaba padhna.
(Bukhari: 5361)

7.) Sura-e-Ikhlaas, Sura-e-Falaq aur Sura-e-Naas padhna. 
(Bukhari: 5017)

8. Daahni karwat Qibla Rukh Let Kar Haath Rukhsaar (gaal) ke Neeche rakhna. 
(Bukhari: 4774, Musnad-e-Abi Ya'ala: 4774).

9.Pet ke bal aundha na letna. 
(Bukhari: 2768)

10. Sone ki dua "Allahumma bismika amootu wa ahyaa" padhna.
(Bukhari: 6314)




SUBAH KO BEDAR HOTE WAQT KI DUA

Alhamdu Lillahil-lazi 'Ahyana Ba'ada Ma Amatana Wa'ilaihi-nushoor..

Tarjumah:

"Allah Ke Liye Hi Tamam Taarifien Hain Jisney Humein Zinda Kiya, Iskey Baad Ke Isney Maut Taari Kar Di (De Di) Thi Aur Usi Ki Taraf Lautna Hai.
Ameen

Monday, March 25, 2024

So Kar Uthne Ki Dua



Al-hamdu lil-lahillazi ahyana ba'da ma an atana,
 wa ilaihi an-nushur.

Tamaam tareef Allah ke liye jisne hame maut ke baad zindagi ata ki aur hame usi ki taraf lautna hai.

Sahih al Bukhari, 6325.

Friday, March 22, 2024

Aap (ﷺ) Ki Pyari 40 Sunnatein




1. Salaam karna Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai.

2. Safar se wapsi ghar waalo k liye tohfa lana Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai.

3. Kisi k ghr jana to ijazat mangna Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai.

4. Apne ghr m aate huy or jate huy salaam karna Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai.

5. Sar me tel lagana or baalo ko sawarna Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai.

6. Khana bismillah padh kr khana Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai.

7. ittar lagana Aap (ﷺ) ki pyari or mithi sunnat hai.

8. Sar k baalo or dadhi k baalo me khushboo lagana Aap (ﷺ) ki bhut hi pyari sunnat hai.

9 . Khana 3 ungliyo s khana Aap(ﷺ) ki pyari sunnat hai.

10. Beth kar paani pina Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai.

11. Paani 3 saans me pina Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai.

12. Mehmaan nawazi Aap (ﷺ) ki Bhut hi pyari sunnat hai.

13. Musafa Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai. 

14. Aankho'n m surma lagana Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai.

15. Raat ko sone s phle wazu Karna Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai. 

16. Chenk aane pr ALHAMDULILLAH Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai.

17. Apni nazro'n ko neeche jhuka kr chalna Aap (ﷺ) ki Bhut hi pyari sunnat hai.

18. Sabhi se muskura kr Baat Karna Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai.

19. Imama Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai.

20. Jumma k din nakhun katna Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai.

21. Naram guftagu Karna Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai.

22. Musalmano ki dil joi Karna Aap (ﷺ) ki mubarak or pyari sunnat hai.

23. Muskura Aap (ﷺ) ki mubarak sunnat hai.

24. Gale milna Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai.

25. Libaas phnte waqt seedhi trf s phnna Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai.

26. Mardok tehmat bandhna Aap (ﷺ)  ki pyari sunnat hai. 

27. Sidha ghutna khade karke khana khana Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai. 

28. Baccho se shafaat a pesh aana Aap (ﷺ) ki mubarak sunnat hai. 

29. Padosiyo saccha sulook krna Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai.

30. Mazlumo ki madad krna Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai.

31. Apni biwi s husn-e- salook krna Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai. 

32. Apni Biwi se pyaar mohabbat se baat krna Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai. 

33. Apni biwi baccho se mohabbat karna Aap (ﷺ) ki mubarak sunnat hai.

34. Jaldi sona or jaldi uthna Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai.

35. Miswak krna Aap ko (ﷺ) ki pyari sunnat hai.

36. Zulfein rkhna Aap (ﷺ) ki pyari sunnat h Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai.

37. Dadhi rakhna Aap (ﷺ) ki pyri sunnat hai.

38. Jummah k din Gusal krna Aap (ﷺ) ki Pyari sunnat hai.

39. Isha k bd jldi sone ki koshish krna Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai.

40. Aap ki ek sunnat ko zinda krna bhi Aap (ﷺ) ki pyari sunnat hai.



Post ko aage bhi share kare acchi baat batana bhi sunnat hai

ALLAH hume pyre AAQA-e-RASOOL (ﷺ) ki sunnato pr chlne ki taufeeq de or kehne sunne se zyada amal krne ki taufeeq ataa farmaye 

Ameen ya rabbul alameen

Thursday, February 29, 2024

Kya Kahana khane ke baad meetha khana sunnat hai?

Yah Baat awaam mein bahut mashhur hai ki khana khane ke bad meetha khana sunnat hai halanki Sahi masa'la yah hai ki khana khane ke baad meetha khana sunnat nahin balki namkin cheez se shuru karke namkeen cheez per khatm karna sunnat hai jaisa ki fatawa Alamgiri mein hai:

  "Sunnat yah hai ki namak se shuru Kare aur Namak per khatm Kare" 
(Fatawa Alamgiri, Jild 5, page: 416)

Aur Hadees Sharif mein jo yah mazkoor hai ki Jab khana Khao to Namak se shuru karo Namak per khatm karo yah Sattar bimariyon ka ilaaj hai iska matlab Namak chatna jaruri nahin Kuchh Hazrat is sunnat ki y adayegi ke liye khane se pahle aur baad mein namak chatna jaruri khyal karte hain halanki sunnat ki adayegi ke liye yah kafi hai ki namkin khana pahle aur bad mein kha liya jaaye tab bhi sunnat ada ho jayegi isliye ki namkin khane mein bhi Namak zarur hota hai aur Arabi mein jise milh kahate hain usi ko Urdu mein namak ya namkeen kaha jata hai, hasil kiye ki Jab dastarkhan per namkin aur meetha Har tarah ka khana maujud ho to sunnat yah hai ki pahle namkin khaye fir meetha aur Aakhir mein fir namkin alag se namak manga kar chaatne ki zaroorat nahin.

Tuesday, June 6, 2023

सोने से पहले बिस्तर झाड़ लेना

हजरत अबू हुरैरा (र.अ) फर्माते हैं के,
रसूलुल्लाह (ﷺ) ने फर्माया :

“जब तुम में से कोई बिस्तर पर आए तो उसे किसी कपडे से झाड़ ले, उसे नहीं मालूम के बिस्तर में क्या है।“

 अबू दाऊद: 5050