Saturday, February 28, 2026

Agar Koi Shakhs Roza Rakh Kar Bhi Jhoot Bolna Aur Dagabaji Karna Na Chore Tou.





Ramadan

Agar Koi Shakhs Roza rakh kar bhi Jhoot bolna aur Dagabaji karna na chore tou.
[Hadees: Sahih al-Bukhari 1903] 

Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Agar Koi Shakhs Roza rakh kar bhi Jhoot bolna aur Dagabaji karna na chore tou Allah Ta'ala ko Uski koi Zaroorat nahi ki wo Apna Khana Peena chor de."




Mohabbat





Roza Rakhna Khuda Ki Mohabbat 
Sehri Karna Nabi (ﷺ) ki Sunnat 

Sajde



Sajde


Roza Allah Se Mohabbat ka Izhaar Hai
Aur Sajde k Bagair Mohabbat Adhuri Hai

Ibne Aadam ka har amal uske liye hai siway Roze ke



Ramadan

Ibne Aadam ka har amal uske liye hai siway Roze ke, Roza Mere liye hai aur mai hi uska Badla dunga. 
[Hadees: Sahih al-Bukhari 5927]

Hadees: Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:

"Allah Ta'ala farmata hai: "Ibne Aadam ka har amal uske liye hai siway roze ke, Roza Mere liye hai Aur mai hi uska Badla dunga."


Thursday, February 26, 2026

Jo Shakhs ek din bhi Allah ki Raah me Roza rakhega,



Ramadan

Jo Shakhs Ek din bhi Allah Taala ki raah me Roza rakhe. 
[Hadees: Sahih Muslim 1153]

Hadees: Abu Saeed Khudri (R.A) se riwayat hai ke, Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
Jo Shakhs ek din bhi Allah Taala ki Raah me Roza rakhega, Allah Taala Jahannam ki Aag ko Uske chehre se Sattar Saal (70 Saal) ki Musafat tak door rakhega.

Roza Kholne ki Dua




Roza Kholne ki Dua

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim 

Zahabaz-zama' u wabtallatil uruqu wa sabatal-ajru in-sha-Allah

प्यास खत्म हुई, रगे तर हो गयी और रोजे का सवाब इंशाअल्लाह पक्का हो गया.

HADITH

Sunan Abu Dawud Hadees no: 2357





Bemisaal Ibadat




Roza Ek Be'misaal Ibadat Hai 
Jo ALLAH Ko Bhahut Pasand Hai


Bina Sehri ka Roza rakhna kaisa hai

Gaib se Madad Aur Khushkhabri ki Dua




Gaib se Madad Aur Khushkhabri ki Dua



La llaha il Lallahu Wahdahu La Shareeka 
Lahu Lahul Mulku Wala hul Hamdu 
Wahuwa Alaa Kulli Shay'in Qadeer

Nabi (ﷺ) Ne Farmaya Jiska Mafhum Hai Ye Meri 
aur Hamse Pehle Ambiya Ki Dua Hai Jo Is Kalme Ko
 Rozana 100 Bar Padh Le Allah Uske Gam Dur Kar
 Dega Aur Gaib Se Khushi Ki Khabar Dega

Roze ki Niyat



Roze ki Niyat


Roza Rakhne Ke Liye Taqat Ki Nahi, 
Niyat Ki Zaroorat Hoti Hai...

Roza ek Dhaal hai




Roza Wo Dhaal Hai Jo Aapki 
Jahannum Ki Aag Se Hifazat Karega

"Roza Lagra" Bolna Ya Roze Me Time Pass Karna Kaisa Hai