Agar Koi Shakhs Roza rakh kar bhi Jhoot bolna aur Dagabaji karna na chore tou.
[Hadees: Sahih al-Bukhari 1903]
Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Agar Koi Shakhs Roza rakh kar bhi Jhoot bolna aur Dagabaji karna na chore tou Allah Ta'ala ko Uski koi Zaroorat nahi ki wo Apna Khana Peena chor de."
Meri Ummat ke log humesha khair ke sath rahenge jab tak Iftar me jaldi karenge.
[Hadees: Sahih al-Bukhari 1957]
Hadees: Sahl bin Sa'd (R.A) se riwayat hai ke, Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Meri Ummat ke log humesha khair ke sath rahenge jab tak Iftaar me jaldi karenge.
Jo Shakhs Ek din bhi Allah Taala ki raah me Roza rakhe.
[Hadees: Sahih Muslim 1153]
Hadees: Abu Saeed Khudri (R.A) se riwayat hai ke, Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
Jo Shakhs ek din bhi Allah Taala ki Raah me Roza rakhega, Allah Taala Jahannam ki Aag ko Uske chehre se Sattar Saal (70 Saal) ki Musafat tak door rakhega