Friday, November 8, 2024
Friday, May 10, 2024
Friday, April 7, 2023
Jab Juma ki Azan di Jaye to Allah ke Zikr ki taraf Daudo
Juma ki Farziyyat
Jab Juma ki Azan di Jaye to Allah ke Zikr ki taraf Daudo
Allah Rabbul Izzat Quran-e-Majid me farmata hain:
“Aye Ahle Eman! jab Juma ke Din Namaz (Juma) ke liye Azaan di Jaaye tou Allah ke Zikar (Khutba aur Namaz) ki taraf Daudo aur (Is Waqt) Karobaar Chod do. Agar tum samjho tou ye tumhare haq me bahot behtar hai.”
📕 Surah: Al Juma 9
Friday, March 17, 2023
Juma Chodne se baaz Aajaain
Juma ki Farziyyat
Juma Chodne se baaz Aajaain
۞ Hadees: Aap(ﷺ) ne farmaya:
“Log juma Chodne se baaz Aajaaei’n warna Allah Ta’ala inke Dilo’n par Mohar Lagaa dega phir wo Gafil ho Jaayenge.“
Friday, February 17, 2023
Juma ki Ahmiyat
Juma Ek Behtareen Din
۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Behtareen din, jis par Suraj Tuloo hokar Chamke, Wo Juma ka din hai, isi din Aadam (A.S.) paida hue, isi din jannat me Dakhil kiye gaye, isi din Jannat se (Zameen par) Utaare gaye aur Qayamat bhi Juma ke Din Qayem hogi.”
📕 Muslim: al Juma 854
Juma ka Dino, Dino ka Sardaar hai
۞ Hadees: Abu Lubaaba (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:
“Juma ka Din Dino’n ka Sardar hai, Allah ke nazdeek Badaa din hai aur ye Allah ke Nazdeek Eid-uz-Zuhaa aur Eid-ul-Fitr se bhi badaa hai, is me 5 baatei’n hain:
Is me Allah Ta’ala ne Aadam (A.S.) ko paida kiya.
Is me Allah Ta’ala ne Aadam (A.S.) ko Zameen par utaara.
Is Din Aadam (A.S.) Faut (Wafat) hue.
Is me 1 Ghadi hai jo banda is Ghadi me Allah Ta’ala se Sawaal karta hai wo isko de deta hai jab tak wo Haraam Cheez ka sawaal na kare.
Is din Qayamat Qaaem hogi, koi Muqarrab Farishta na Aasmaan me, na Zameen me, na hawaa me, na Pahaad me aur na dariya me magar wo Juma se Darte hain.’
📕 (Ibne Majah: Iqamatis Salah 1084) Imam Buseeri ne Hasan kaha.
Friday, December 2, 2022
Friday, June 17, 2022
Susti ki wajah se Juma Chorne ka wabaal
Juma ki Farziyyat
۞ Hadees: Abu Al Ja’ad Zamri(R.A) se riwayat hai ke,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya “Jo Shakhs Susti ki wajah se 3 Juma Chod dey tou Allah Ta’ala iske dil par Mohar lagaa deta hai.“
📕 Abu Dawood: al Salah 1052 – Tirmizee: 499
📕 Ise Imam Hakim V1 P 280,
📕 Imam Ibne Khuzaima 1858,
📕 Imam Ibne Hibban 554 aur
📕 Imam adh-Dhahabi ne Sahih kaha.
Friday, June 10, 2022
Bila Sharayi Uzr ke Juma Chodne se bache
Juma ki Farziyyat
Bila Sharayi Uzr ke Juma Chodne se bache
۞ Hadees: Ibne Masood (R.A) se riwayat hai ke Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya ke:
“Mera Dil Chaahta hai ke main kisi Shakhs ko Hukam dun ke wo logon ko namaz padhaye phir Main in logon ke Gharon ko Jalaadun jo bila uzr juma Mein nahi aate.”
WAJAHAT: Maloom hua ke Juma ka Chodna bahot bada Gunah hai, is par Shadeed Waeed (Warning) hai. Lehaaza har musalman par juma Padhna farz hai. Is mein hargiz Susti nahi karni chaahiey. Jab Khateeb mimbar par chadhe, aur azaan ho jaae tou saare karobaar haraam hojaate hain.