Friday, June 10, 2022

Bila Sharayi Uzr ke Juma Chodne se bache

Juma ki Farziyyat


Bila Sharayi Uzr ke Juma Chodne se bache


۞ Hadees: Ibne Masood (R.A) se riwayat hai ke Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya ke:

“Mera Dil Chaahta hai ke main kisi Shakhs ko Hukam dun ke wo logon ko namaz padhaye phir Main in logon ke Gharon ko Jalaadun jo bila uzr juma Mein nahi aate.”

📕 Muslim: al Masaajid 605


WAJAHAT: Maloom hua ke Juma ka Chodna bahot bada Gunah hai, is par Shadeed Waeed (Warning) hai. Lehaaza har musalman par juma Padhna farz hai. Is mein hargiz Susti nahi karni chaahiey. Jab Khateeb mimbar par chadhe, aur azaan ho jaae tou saare karobaar haraam hojaate hain.

Previous Post
Next Post

0 Comments: