Juma Ek Behtareen Din
۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Behtareen din, jis par Suraj Tuloo hokar Chamke, Wo Juma ka din hai, isi din Aadam (A.S.) paida hue, isi din jannat me Dakhil kiye gaye, isi din Jannat se (Zameen par) Utaare gaye aur Qayamat bhi Juma ke Din Qayem hogi.”
📕 Muslim: al Juma 854
Juma ka Dino, Dino ka Sardaar hai
۞ Hadees: Abu Lubaaba (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:
“Juma ka Din Dino’n ka Sardar hai, Allah ke nazdeek Badaa din hai aur ye Allah ke Nazdeek Eid-uz-Zuhaa aur Eid-ul-Fitr se bhi badaa hai, is me 5 baatei’n hain:
Is me Allah Ta’ala ne Aadam (A.S.) ko paida kiya.
Is me Allah Ta’ala ne Aadam (A.S.) ko Zameen par utaara.
Is Din Aadam (A.S.) Faut (Wafat) hue.
Is me 1 Ghadi hai jo banda is Ghadi me Allah Ta’ala se Sawaal karta hai wo isko de deta hai jab tak wo Haraam Cheez ka sawaal na kare.
Is din Qayamat Qaaem hogi, koi Muqarrab Farishta na Aasmaan me, na Zameen me, na hawaa me, na Pahaad me aur na dariya me magar wo Juma se Darte hain.’
📕 (Ibne Majah: Iqamatis Salah 1084) Imam Buseeri ne Hasan kaha.
0 Comments: