Monday, February 9, 2026
Jinka Nikah Nahi Hua Hai
Ye Post Unke Liye Hai Jo Nikah Karna Chahte Hai Lekin Kisi Wajah Se Unka Nikah Nahi Hua Hai Abhi Tak.
Unhe Apne Aap Ko Rokna Hoga Haraam Cheezo Se Jaise Ki Zinah, Unhe Opposite Gender Ko Dekhne Se Rokna Hoga Offline Or Online.
Karte Waqt Aapko Bahot Dikkat
Hogi Or Irritate Hoga Lekin
Yaad Rakhe Apne Nafs Ko Kabu Me Rakh Kar Aap Allah Ki Nazro Me Nek Bante Jayenge.
Saturday, February 7, 2026
Pareshani Ka Hal.!!
"Agar khushi chahte hai to wakt par namaz ada kiya kre"
"Agar gham se aazad hona chahte hai dua kare aur dua pr pura bhrosa rakhe"
"Agar sehat chahte hai Roze rkhe"
Apne Gunaaho ki Muafi
Astaghfar ki Dua 3
۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya :
Allah se Astaghfar (Apne Gunaaho ki Muafi) ki sabse behtar Dua hai –
“Allahumma Anta Rabbi La Ilaha Illa Anta, Anta Khalaqtani Wa Ana Abduka, Wa Ana ‘Ala Ahdika Wa Wa’dika Mastata’tu, A’udhu Bika Min Sharri Ma Sana’tu, Abu’u Laka Bini’matika ‘Alaiya, Wa Abu Laka Bidhanbi Faghfirli Innahu La Yaghfiru Adhdhunuba Illa Anta.”
Aage Aap (ﷺ) ne farmaya:
“Agar koi Shakhs ye Dua yakeen ke sath din me parhe aur Shaam se pehle Intiqaal(Mout) kar jaye tou Jannat me jayega aur agar yakeen ke sath raat ko parhe aur Subah hone se pehle inteqal kar jaye tou Jannat me jayega.“
📕 Bukhari, Vol:8, Book:75, Hadith 318
Kya Raat mein rupaye Lene dene se gareebi aati hai?
Kuchh log kahate hain ki Raat mein rupaye ka Len den nahin karna chahiye is se ghar mein Barkat nahin Hoti hai yah logon ki galatfahmi hai Aisa khyal badshagooni aur gair isalami tawahhumaat mein se hai aisi chizon se Hadees paak mein mana Kiya gaya hai.
Nabi Akram Sallallahu Alaihi wasllam ne farmaya jisne badshagooni li wo hum mein se nahin yaani hamare tariqe per nahin.
Lihaza qarz ka len den Karna Kisi waqt manhoos nahin aur raat mein karz dene ya rupya Paisa wagairah ke len den ko manhoos samajhna jahilon ka khyal hai jis ka shariyat mein Koi aitbaar nahin.
Fatawa Bahrul Uloom me hai: "Dinon mein Koi din aur auqaat mein Koi waqt aur ghadi manhus aur na mubarak nahin hai Sab din Allah ta'ala ke hain to Kisi din ki nahusat ka aitqaad karna Gair Islami hai"
(Fatawa Bahrul Uloom Jild: 4, page: 141, Imaam Ahmad Raza Academy)
Sunnat se ilaz
• Surah Falaq Aur Surah Naas
• Ajwa Khajoor
• Shahed
• Zaitoon Ka Tel
• Kalonji
• Hijama
• Zam Zam Ka Pani
• Talbina
• Surah Fatiha
• Ruqayah
🌟 Surah Falaq Aur Surah Naas
Hazrat Aisha ne bayan kiya ke Rasool Allah (ﷺ) jab beemar padte the to mu'awwidat ki suratein(surah falaq aur surah naas) padh kar use apne uper dam karte (apne uper pad kar phunkna) Phir jab (marz al maut me) Aap (ﷺ) ki takleef badh gayi to mai un suraton ko padh kar Aap (ﷺ) ke hathon ko barkat ki umeed me Aap (ﷺ) ke jism par pherti thi
(Sahih bukhari-5016)
🌟 Ajwa Khajoor
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya jo shaks subah ke waqt 7 ajwa khajooren kha lein usey us din na zeher nuksan pohuncha sakega aur na jadu
(Sahih bukhari-5779)
🌟 Shahed
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya agar tumhari dawaiyon mein koi bhalai hai to shahed ke sharbat me hai
(Sahih bukhari-5702)
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya zaitoon ka tel ba'taur salan istemal karo aur usko apne sar aur badan mein lagao isliye ke ye mubarak darakht se nikalta hai
(Ibn Majah-3319)
🌟 Kalonji
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya siyah danon me har beemari se shifa hai siwa saam ke Ibn shihaab rahmatullah ne kaha ke saam maut hai aur siyah daana kalonji ko kehte hai
(Sahih bukhari-5688)
🌟 Hijama
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya agar tumhari dawaiyon me shifa hai to wo hijama lagwane me hai Is me (hijama lagwane me) shifa hai
(Sahih bukhari-5704, 5697)
🌟 Zam Zam Ka Pani
Abu jamra ad dabi rahmatullah ne bayan kiya ke mai makkah me ibn abbas raziallahu ki khidmat me betha karta tha waha mujhe bukhar ane laga ibn abbas raziallahu ne farmaya ke is bukhar ko zam zam ke pani se thanda karo kyuki Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya ke ye bukhar jahannam ki bhap ke asar se ata hai isliye use pani se thanda kar liya karo ya ye farmaya ke zam zam ke pani se
(Sahih bukhari-3261)
🌟 Talbina
Aisha beemar ke liye aur mayyat ke sogwaro ke liye talbina pakane ka hukm deti thi aur farmati thi ke mai ne Rasool Allah (ﷺ) se suna Aap (ﷺ) ne farmaya ke talbina mareez ke dil ko sukoon pohuchata hai aur gham ko door karta hai
(Sahih bukhari-5689)
🌟 Umm Ul Kitab Surah Fatiha
Abu sa'id al khudri rahmatullah aliyh ne bayan kiya ke ham ek fauji safar me the (raat me) ham ne ek qabeele ke nazdik padao kiya phir ek laundi(gulam aurat) ayi aur kaha ke qabeele ke sardar ko bichu ne kaat liya hai aur hamare qabeele ke mard maujud nahi hai kya tum me se koi hai jo kuch tilawat karke ilaaj kar sake? Ek sahabi uske sath chale gaye ham ko malum tha ke wo dam karna nahi jante lekin unhone qabeele ke sardar ka Ruqayah(quran ki ayat me se kuch padna) ke zariye ilaaj kiya wo aadmi thik ho gaya aur usne shukar ada karne ke liye tees bhed dene ka hukm diya aur hame dood pilaya jab wo wapas aye to hamne unse pucha kya tum wage Ruqayah se ilaaj karna jante ho? Unhone kaha ke "Nahi maine to sirf Surat Fatiha padh kar us par dam kar diya tha"
🌟 Umm UI Kitab Surah Fatiha
Ham ne kaha ke "acha jab tak ham Rasool Allah (ﷺ) se iske mutallig na puch le tab tak in bhedo(sheep) ke bare me apni taraf se kuch na kaho" so ham ne madina pahuch kar Rasool Allah (ﷺ) se zikr kiya (taki ye jaan sake ke ham se jo bheden li thi wo lena halal tha ya nahi) to Aap (ﷺ) ne farmaya ke "unhone kaise jana ke surah fatiha ko ilaaj ke liye istemal kiya ja sakta hai? (jao ye maal halal hai) ise taskeem kar lo aur us me mera bhi hissa lagana
(Sahih bukhari-5007)
🌟 Ruqayah
1) Ye padhiya....
Al fatiha, Ayat ul kursi, Suratul baqarah ki akhri 2 ayat, Quran ki akhri 3 surat aur Aap (ﷺ) ki duaen jo hadees me bayan hai wo bhi padh sakte hai
2) Kaise Karni Hai....
Khud par ruqayah karne ke liye aap apne haton ke hatheliyon ko jamah kare aur un par ruqayah pad kar phunke aur jaha par beemari hai ya jism ke jis hisse me takleef hai waha hath pher lein Aap zam zam pani ya normal pani par bhi 3 ya 5 ya 7 ya11 baar ruqayah pad ke phunk kar pee sakte hai.

