Saturday, November 2, 2024

Rizq mein Barkat



" Nikaah krne se Allah Ki taraf se aapke rizq me izafa hojata hai"



Yani, jab aap nikaah karte hain, tou Allah ki taraf se aapke maali aur aashiyaan (rizq) mein izafa hota hai. Ye baat isliye hai kyun ke nikaah Allah ki khushi aur barkat ka zariya hota hai, aur is se insaan ki zindagi mein khushiyan aur rahmat aati hain.

Nikaah





Nikaah Se Budhape Tak Budhape Se 
Maut Tak Maut Se Jannat Tak Ka Safar 
Tai Karna Hai Tumhare Saath ❤️🌹

Thursday, August 8, 2024

Kya Islam Me Love Marriage Jayaz Hain?




Kya Islam Me Love Marriage Jayaz Hain?

Bhot Se Logo Ke Zahen Me Yeh Sawal aata Hai, In Shaa Allah Iss Post Me Tamam Baate Detail Ke Sath Hai

islam me shaadi se pahle ishq karne ki ijajat nahee hai, Shaadi ke baad ishq/pyaar karne ki ijajat hain.

Jo ladki ya ladke se shaadi kare ussey mohabbat kare ye bahtar hai, baanisbat jiss ladki ya ladke se mohabbat karte hai ussey shadi kare.

Islam main naa-mahram baaligh Ladke Ladki ka apaas main milna julna, free ho kar baat cheet karna, yeh sab allowed nahi hai


Payar karna, romance karna, romaanwi batain karna, sath me Ghumna outing karna, aik doosray ko touch karna, yeh sab bhi allowed nahi hai. aur HARAM hai.

Nabi (ﷺ) ne farmaya: (Muashre me aam taur par) shadi 4 chizo ki wajah se ki jaati hai;
1. Maaldari (wealth,Property/Bank balance,) 2.Hasbe nasb (Khandaan, family status) 3.Khubsurti(beauty/Handsome) 
4. Deendari (religious) chunanche tum Deendar ko talash karlo tumhare hath khak alood kardegi".

Ref: Narrated by Abu Huraira R.A 
Sahih al Bukhari, 5090 & Sahih Muslim, 1466.


Note : Lekin ek ladki aur ladke ko apni Jodi chunne ki ijajat hain jaise hadith me hai.



Mangetar ko shadi se pahle Dekhne ki Ijazat:

Aur isliye Nabi Paak (ﷺ) ne ladke ko yeh ijazat di hai ke wo apni honay wali mangetar ko dekhe.

Hadith : Mughira bin shoba razi Allahtaala'anho bayan karte hain kay mein ne aik aurat se mangni ki  Nabi (ﷺ) ne farmaya 
Use dekhlo kyunke aisa karna tum dono ke mabain ziyada istiqraar ka baais banega.

Ref : Sunan Tirmizi hadees number (1087) Sunan Nisai hadees number (3235) 

Note : Ladka Ladki Ek dusro ko dekhne ki ijajat sirf uss waqt hai jab ladki ka Mahram sath me ho. Ladki ko apna shohar chunne ki puri ijajat hai aur ladke ko apni biwi chunne ki puri ijajat hai.
lekin shariyat ke me rahkar even shaadi se pahle baat bhi karr sakte hai, Jaise Deen Ke Talluq Se Aqeede ke Talluq Se, lekin MAHRAM sath hona zaruri hai. taqi shariyat ke daiyre me ho.


Jab kisi Ladke ka dil kisi ladki se muallaq ho jis ka nikah karna Jayaz hai. ya kisi Ladki ne kisi ladke ko pasand karliya ho to is ka hal shadi ke Elawa kuch nahi kyunke Nabi (ﷺ) ka farmaan hai
 Do mohabbat karne walon ke liye hum nikah ki misl kuch nahi dekhte.

Ref: Sunan Ibn maja hadees number (1847)


Agar kissi ko koi Ladki ya Ladka acha lagay, aur woh oss say shadi karna chaahay to sirf iss gharz say kissi aur ki maarfat raabitah karkay shadi ka paighaam diya jasakta hai... 

chand logoun ki maujoodgi main aik doosray ko apnay gharoun ke patey diye jasaktay hain takey donoun Parents aik doosray say contact karkay baat ko agay badha sakain..



"LEKIN" jo aaj hamare mawshre ka haal hai Shaadi se pahle ladka ladki ka milna outing karna, Phones per ghanto gair zaroori batein karna, aur ghar se bhaag kar shadi kar lena. Wager wagera yeh sab islam me jayaz nahee hai.

ghar se bhag kar shadi karenge to wo nikah hoga hi nahee aur wo nikah haram hai aur zina baddkari ka rasta hai.
Kyu ke Wali ke bagair Nikah nahi hai.". 


Hadith : Abu Musa Ashri (R.z) bayan karte hain ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: "Wali ke bagair Nikah nahi hai.". 

Ref: Abu Dawood (2085), al-Tirmidhi (1101) and Ibn Maajah (1881)


Aur ek Hadees me Nabi (ﷺ) ka farman hai: "Jis Aurat ne bhi apne wali ki ijazat ke bagair Nikah kiya, Uska Nikah batil(Jhuta) hai, Uska Nikah batil hai, Uska Nikah batil hai. Aur ager jhagda kare to uska jiska wali na ho uska Haakim wali hai.

Ref: Ahmad (24417), Abu Dawood (2083) and al-Tirmidhi (1102)

Inn Saree batein aur inn ahadees se wajeh huwa ke Apni Pasand ke ladke ya ladki se shaadi/Nikkah marriage karna Jayaz hai. Lekin Shariyat ke Daiyre me Rahkar!!

Lekin Shariyat ke Daiyre me Rahkar!! Magar maa baap(parents) ke khilaf Jana Sahee Nahee(kyuki Ek Ladki ya ladke ke liye apne maa baap se rishta todd lena ya unhe naraz karr dena Sahi nahi
Aur shariyat ke hadde par karna bhi jayaz nahi.


Allah se Duaa hai Allah tamam ko siratul Mustaqeem per chalaye aur shariyat ki hadde par karne se shariyat ke khilaaf koi kaam karne se hamari hifazat farmaya.

Aur Jo Inn Mohabbat ke Maslo Me Phase Hue Hai Unke Liye Nikkah Ke Asbab Bana De.. Ameen

Ummid Hai Aap Sabko Yeh Masla Se Related Sab Samjh Agaya Hoga...Aage Logo Ko Share Kijiye


Sunday, March 10, 2024

Nikah Ke 5 bade faide


 


Nikah karne se aapka Imaan mukammal hojata hai



Allah Ki taraf se aapke rizq mein izafa hojata hai



Nikah Aap ko bohot se gunaahon se bachata hai


Nikah Ke baad Allah aap ko aulad jaisi nemat se nawazta hai


Aap ko Humsafar ke roop me ek acha aur behtreen dost milta hai jo har sukh dukh me aapka sath deta hai


Thursday, July 6, 2023

Jinka Nikah Nahi Hua Hai




Ye Post Unke Liye Hai Jo Nikah Karna Chahte Hai Lekin Kisi Wajah Se Unka Nikah Nahi Hua Hai Abhi Tak.


Unhe Apne Aap Ko Rokna Hoga Haraam Cheezo Se Jaise Ki Zinah, Unhe Opposite Gender Ko Dekhne Se Rokna Hoga Offline Or Online.


Aaj Ke Waqt Bahot Asaan Ho Gaya Hai Badkari Or Fahaashi Ki Duniya Me Jaana Lekin Yaad Rakho Aapko Apne Khwahishaat Ko Kabu Me Rakhna Hoga Allah Ko Raazi Karne Ke Liye.


Ye Duniya Humare Liye Aazmaish Ki Jagah Hai Or Is Tarah Se Allah Aapke Sabr Ka Imtehaan Lete Hai. Aapko Ye Aazmaish Me Kamyab Hona Hoga Deen Islam Ko Follow Karke.


Apne Khwahishaat Ko Kabu Me
Karte Waqt Aapko Bahot Dikkat
Hogi Or Irritate Hoga Lekin
Yaad Rakhe Apne Nafs Ko Kabu Me Rakh Kar Aap Allah Ki Nazro Me Nek Bante Jayenge.


Haa Pata Hai Society Or Mahol Aisa Hai Ki Har Taraf Se Sexually Cheeze Hai, Or Bahot Se Log Aapko Nicha Dekhte Hai Kyuki Aapka Koi GF-BF Nahi Hai Lekin Yaad Rakhe Ki Aap Pakeezgi Ki Raah Par Chal Rahe Hai.


Apne Aap Ko Paak Rakhe Apne Asli King-Queen Ke Liye, Ye GF-BF Kehlane Wale Jhoote Fitno Me Mat Padhiye. Duniyavi Behkavo Me Naa Kho Jaye Or Shaytaan Ki Chaalo Me Naa Fase.


Mere Tamaam Bhai-Behen Jo Khudko Haraam Se Bacha Kar Rakhe Huye Hai, Aapko Ek Din Single Rehne Ka Behtareen Tohfa Milega Insha Allah.


Allah Aapke Naseeb Me Neik Imaandar, Wafadaar, Loving Or Caring Humsafar Ata Kare. Jo Aapki Deen Duniya Or Akhirat Me Kamyabi Ki Wajah Bane.