Thursday, August 8, 2024

Kya Islam Me Love Marriage Jayaz Hain?




Kya Islam Me Love Marriage Jayaz Hain?

Bhot Se Logo Ke Zahen Me Yeh Sawal aata Hai, In Shaa Allah Iss Post Me Tamam Baate Detail Ke Sath Hai

islam me shaadi se pahle ishq karne ki ijajat nahee hai, Shaadi ke baad ishq/pyaar karne ki ijajat hain.

Jo ladki ya ladke se shaadi kare ussey mohabbat kare ye bahtar hai, baanisbat jiss ladki ya ladke se mohabbat karte hai ussey shadi kare.

Islam main naa-mahram baaligh Ladke Ladki ka apaas main milna julna, free ho kar baat cheet karna, yeh sab allowed nahi hai


Payar karna, romance karna, romaanwi batain karna, sath me Ghumna outing karna, aik doosray ko touch karna, yeh sab bhi allowed nahi hai. aur HARAM hai.

Nabi (ﷺ) ne farmaya: (Muashre me aam taur par) shadi 4 chizo ki wajah se ki jaati hai;
1. Maaldari (wealth,Property/Bank balance,) 2.Hasbe nasb (Khandaan, family status) 3.Khubsurti(beauty/Handsome) 
4. Deendari (religious) chunanche tum Deendar ko talash karlo tumhare hath khak alood kardegi".

Ref: Narrated by Abu Huraira R.A 
Sahih al Bukhari, 5090 & Sahih Muslim, 1466.


Note : Lekin ek ladki aur ladke ko apni Jodi chunne ki ijajat hain jaise hadith me hai.



Mangetar ko shadi se pahle Dekhne ki Ijazat:

Aur isliye Nabi Paak (ﷺ) ne ladke ko yeh ijazat di hai ke wo apni honay wali mangetar ko dekhe.

Hadith : Mughira bin shoba razi Allahtaala'anho bayan karte hain kay mein ne aik aurat se mangni ki  Nabi (ﷺ) ne farmaya 
Use dekhlo kyunke aisa karna tum dono ke mabain ziyada istiqraar ka baais banega.

Ref : Sunan Tirmizi hadees number (1087) Sunan Nisai hadees number (3235) 

Note : Ladka Ladki Ek dusro ko dekhne ki ijajat sirf uss waqt hai jab ladki ka Mahram sath me ho. Ladki ko apna shohar chunne ki puri ijajat hai aur ladke ko apni biwi chunne ki puri ijajat hai.
lekin shariyat ke me rahkar even shaadi se pahle baat bhi karr sakte hai, Jaise Deen Ke Talluq Se Aqeede ke Talluq Se, lekin MAHRAM sath hona zaruri hai. taqi shariyat ke daiyre me ho.


Jab kisi Ladke ka dil kisi ladki se muallaq ho jis ka nikah karna Jayaz hai. ya kisi Ladki ne kisi ladke ko pasand karliya ho to is ka hal shadi ke Elawa kuch nahi kyunke Nabi (ﷺ) ka farmaan hai
 Do mohabbat karne walon ke liye hum nikah ki misl kuch nahi dekhte.

Ref: Sunan Ibn maja hadees number (1847)


Agar kissi ko koi Ladki ya Ladka acha lagay, aur woh oss say shadi karna chaahay to sirf iss gharz say kissi aur ki maarfat raabitah karkay shadi ka paighaam diya jasakta hai... 

chand logoun ki maujoodgi main aik doosray ko apnay gharoun ke patey diye jasaktay hain takey donoun Parents aik doosray say contact karkay baat ko agay badha sakain..



"LEKIN" jo aaj hamare mawshre ka haal hai Shaadi se pahle ladka ladki ka milna outing karna, Phones per ghanto gair zaroori batein karna, aur ghar se bhaag kar shadi kar lena. Wager wagera yeh sab islam me jayaz nahee hai.

ghar se bhag kar shadi karenge to wo nikah hoga hi nahee aur wo nikah haram hai aur zina baddkari ka rasta hai.
Kyu ke Wali ke bagair Nikah nahi hai.". 


Hadith : Abu Musa Ashri (R.z) bayan karte hain ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: "Wali ke bagair Nikah nahi hai.". 

Ref: Abu Dawood (2085), al-Tirmidhi (1101) and Ibn Maajah (1881)


Aur ek Hadees me Nabi (ﷺ) ka farman hai: "Jis Aurat ne bhi apne wali ki ijazat ke bagair Nikah kiya, Uska Nikah batil(Jhuta) hai, Uska Nikah batil hai, Uska Nikah batil hai. Aur ager jhagda kare to uska jiska wali na ho uska Haakim wali hai.

Ref: Ahmad (24417), Abu Dawood (2083) and al-Tirmidhi (1102)

Inn Saree batein aur inn ahadees se wajeh huwa ke Apni Pasand ke ladke ya ladki se shaadi/Nikkah marriage karna Jayaz hai. Lekin Shariyat ke Daiyre me Rahkar!!

Lekin Shariyat ke Daiyre me Rahkar!! Magar maa baap(parents) ke khilaf Jana Sahee Nahee(kyuki Ek Ladki ya ladke ke liye apne maa baap se rishta todd lena ya unhe naraz karr dena Sahi nahi
Aur shariyat ke hadde par karna bhi jayaz nahi.


Allah se Duaa hai Allah tamam ko siratul Mustaqeem per chalaye aur shariyat ki hadde par karne se shariyat ke khilaaf koi kaam karne se hamari hifazat farmaya.

Aur Jo Inn Mohabbat ke Maslo Me Phase Hue Hai Unke Liye Nikkah Ke Asbab Bana De.. Ameen

Ummid Hai Aap Sabko Yeh Masla Se Related Sab Samjh Agaya Hoga...Aage Logo Ko Share Kijiye


Previous Post
Next Post

0 Comments: