Saturday, February 15, 2025

Walid (Baap) Jannat ka Markazi Darwaza hai




Abu Darda (R.A) farmate hai ke,
Maine Allah ke Rasool (ﷺ) ko ye farmatey huye suna,

“Walid (Baap) Jannat ka Markazi Darwaza hai, Ab ye Tumhari Marzi hai ke Tum Iss Darwazey ko Zaya Karo (Yaani Iss Ko Naraaz kar ke Jannat se Mehroom bano) ya Iski Hifazat karo (Yaani Iss ki Khidmat ke Raste se Jannat me Dakhil ho jao.)”

📕 Jameh Tirmazi: 1900,
📕 Sunan Ibne Majah: 2089,
📕 Musnad Ahmed: 4456

Friday, January 31, 2025

Namazi




Sabse Pyara Safar Namazi Ka Hoga 
Iss Duniya Mein Bhi Aur Aakhirat Mein Bhi..!! ❤️

Pyare Nabi Ki Sunnaton Pe Chale To Zamana Khud Ba Khud Hamare Peche Aa Jayega


Nabi (ﷺ) Ki Sunnat 

•Waqt Aur Zamane Ke Sath Chalne Ki Kiya Zarurat Hai... Pyare Nabi Ki Sunnaton Pe Chale To Zamana Khud Ba Khud Hamare Peche Aa Jayega

Duniya Ki har mohabbat se pyari




Duniya Ki har mohabbat se pyari 


Duniya Ki har mohabbat se pyari 
Allah ki mohabbat hain!

Shohar agar pyar se ek nazar biwi ko dekhley toh



Shohar agar pyar se ek nazar biwi ko dekhley toh


Shohar Agar Pyar Se Ek Nazar Biwi Ko 
Dekhley To Biwi Ko Poori Duniya Haseen Lagti Hai 😍

Neki Sadqa hai



Ek aur Riwayat me Aap (ﷺ) ne faramaya

"Har Neki Sadqa Hai ! 
Tum Apne Musalman Bhai se Pyar se Galey milo, yeh bhi Neki hai."

Musnade Ahmad Jild : 5 Safa : 111 : 14715

Sath






"Jo tere saath ada ho main, aisi namaz ki talash mein hoon" ek khoobsurat shayari hai jo mohabbat aur ibaadat ko ek sath jodti hai. Iska matlab yeh hai ke main aisi namaz ki talash mein hoon jo tere sath ada ho, jisme mohabbat ka izhaar aur Allah ki ibaadat dono shaamil hon. Yeh ek aisi jazbaat ki tasveer hai jisme insaan apne pyare ko bhi ibaadat ka hissa bana kar, ek ruhani aur dilli qurbat ko mehsoos karta hai.


Asal Mard wahi hai







"Asal mard wahi hai, jo ruthi hui aurat ke chehre par muskan le aaye" ek gehri aur pyari baat hai jo ek mard ke asal jazbat aur uski zimmedari ko bayan karti hai. Iska matlab hai ke ek sachha mard woh hota hai jo apni aurat ke dukh ya narazgi ko samajhta hai, aur uski khushi aur sukoon ke liye har mumkin koshish karta hai. Uski zimmedari sirf rishta nibhana nahi, balki apne pyare ke dil ko khush rakhna aur uske chehre par muskurahat wapas laana bhi hoti hai.


Maa



"Insaan bada bhi ho jaye, lekin maa ki mohabbat, dekhbhaal, aur sahara hamesha zaroori hota hai. Chahe jitni bhi umar ho jaye, maa ka pyar aur uski rehnumai kabhi purani nahi hoti. Maa ka wajood hamesha ek zarurat bana rehta hai."


Baap k beghair zindagi adhuri hai




"Zindagi mein safalta ki raah par chalne ke liye jis shakhs ka zikr zaroori hai, woh baap hai, kyunki unke bina zindagi adhoori lagti hai."

Yeh kehna hai ke ek baap ka zindagi mein hona aur unka saath dena kamiyabi ke liye bahut zaroori hai. Baap ke bina zindagi adhoori aur adhuri mehsoos hoti hai, kyunki unka pyar, rehnumai (guidance), aur hifazat har kadam par zaroori hoti hai.

Shauhar - Biwi ke liye in baton ka apnana khaas zaroori hai


Shauhar - Biwi ke liye in baton ka apnana khaas zaroori hai



Islam me shauhar aur biwi ke huqooq barabar hain lekin yaqeenan ek jaise nahi hai (they are equal but not similar). Allah ne dono ko alag fitrat par banaya hai, dono ke kaam alag alag hote hain. Kuch huqooq me shauhar bartari hasil karta hai aur kuch huqooq me biwi bartari hasil karti hai. Lekin Shariyatan ke hisab se dono ke huqooq barabar hote hain.

Rishta wahi kamyab hota hai jisko nibhane ki chahat dono taraf se ho. Isliye lihaza Shauhar - Biwi dono ko apne huqooq samjhna chahiye aur uspe amal karna chahiye


Allah Ta'ala Quran me Farmate Hain,

Wo (biwiya) tumhare liye libaas hain aur tum unke liye libaas ho 
(Quran 2:187)


Libaas insan ki zinat badhata hai aur uske aib chhupata hai. Isi tarah shohar aur biwi ko bhi ek dusre ke aib chhupana chahiye aur dusro ke saamne zaahir nahi karne chahiye aur koi galti ho jaaye to narmi ke saath use sahi baat samjhani chahiye aur galat fehmiyo ki wajah se paida hone wale burai (mis understanding) se hamesha bachna chahiye aur ek dusre ki izzat ki hifazat karni chahiye aur ek dusre ki khubiya par nazar rakhna chahiye, khud bhi hamesha aise kaam karne chahiye ke ek dusre ki izzat badhe.


 ۝  Aapas me mohabbat rakhen aur ek dusre par bharosa rakhe aur ek dusre se achhi tarah rahe.

 ۝Ek dusre ki acchaiyo par nazar rakhe aur kamiyo ko aur mamooli galtiyo ko nazar andaz kare.

 ۝ Ek dusre ko sahi raay (sggestion) de aur islam seekhne aur us par amal karne ka bolte rahen. Aur ek dusre ki Akhirat ki fikr karen

 ۝Dusro ke saamne sharm aur haya se pesh aayen, aur aisa koi kaam na karen, jisse ek dusre ki izzat kam ho. Ek dusre ke raaz ya kamiyo ko chhupa kar rakhe, aur dusro ke saamne na bataen.

 ۝ Ek dusre ki jaiz zaroorato ka khayal rakhe. Mard halaal rozi kama kar laaye aur ghar ka kharcha aur apni biwi ki zarooraton ko pura kare Aur Aurat uski halaal kamai se khaane ka aur dusri zaroorato ka khayal rakhe. Aur uske halal rizq par shukr aur sabr kare aur ghar ka, maal ka aur rishtedaro ka aur ghar walo ka khayal rakhe.

 ۝Ek dusre ke liye wafadar hon, shauhar kisi gair aurat ke baare mein ya biwi kisi paraye mard ke baare mein na soche, na usse taalluk (relation) rakhe. Apne humsafar ke samne kisi gair mehram ki tareef naa karen aur naa hi dusron se compare karen aur naa kisi gair mehram se dosti rakhen

 ۝ Ek dusre ke Rishtedaaro ki izzat kare aur unse acchi tarah mile.

 ۝ Kisi bhi musibat, bimari, pareshani mein ek dusre ke saath rahen, aur ek dusre ko himmat dilane waali baat karen. Aur Koi galti ho jaaye to us baat ko aaram se, pyar se samjhayen

 ۝ Aisa koi kaam na kare, jisse ek dusre ke liye dil mein shak paida ho. Agar shauhar ko kuch kaam ya tarika pasand nahi to biwi iska dhyan rakhe, aur agar biwi ko kuch baat pasand nahi to shauhar dhyan rakhe.

 ۝ Allah Ta'ala se ek dusre ke liye dunya aur aakhirat me bhalai ki aur khairo barkat ki aur salaamati ki dua kare. Jab Shauhar Biwi ek dusre ko pyar se dekhte hain to Allah dono ko khush hokar (pyar se) dekhta hai.

 ۝Agar in sab cheezon ko ek tarfa nibhaya jaa raha hai to, rishta ek na ek din kamzoor pad jayega ya toot jayega. Jab dono taraf se nibhaya jaa raha hai to wahi rishta waqt ke sath mazboot hota hai. Shauhar-Biwi ka rishta bahut pyara hota hai, ek dusre ke sath pyar mohabbat se rahiye.

 ۝ Jo nikah karne wale hain, koshish karen ki ek nek Akhlaaq aur deendar insan se karne ki. Nek Akhlaaq hi hain jo zindagi ko khoobsurat banati hai.


Allah Hum sab ko nek humsafar se nawazen.

Allah har Shauhar - Biwi ko ek dusre ko samajhne, ek dusre ki izzat karne, ek dusre ka khayal rakhne, ek dusre se pyar karne wala, fikar karne wala, bharosa kaayam rakhne wala bana de, ek dusre ki Akhirat ki fikr karne wala banade.



Source : @flower_of_jannaah