Monday, November 11, 2024

Ghar me Dakhil hone k adaab




۞ Hadees: Abu Musa (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:

‟Agar kisi se milne jao tou andar dakhil hone se pehle 3 martaba ijazat maang lo, agar ijaazat mil jaye tou thik hai, warna wapas laut jao

📕 Muslim: 5753


Dua for Family



Rabbana Hablana min azwaajina wadhurriy-yatina, qurrata 'ayioni wa-jalna lil-muttaqeena Imaama

O my Lord! Grant unto us wives and offspring who will be the comfort of our eyes, and give us (the grace) to lead the righteous.

Surah Al-Furqan - 25:74

Allah ka Naam Lekar Darwaze Band kiya karo Kyunki ...



Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

"Allah ka Naam Le Kar Darwaze Band kiya karo, Kyunki Shaitan Aise band Darwaze ko Nahi khol Sakta."

Sahih Bukhari: 3304

Tuesday, January 30, 2024

Ghar ki barkate




Ghar mein barkat kin chizo'n se aati hai???


🌹 Quran shareef ki tilawat karne se.

🌹Namaz padhne se.

🌹Har haal m Allah ka shukr ada karne se.

🌹Allah se apne gunaho ki muafi mangne se.

🌹Kisi majboor ki madad krne se.

🌹Sadka kheiraat dene se.

🌹sabhi se accha sulook karne se.

🌹Subha ke waqt yaseen shareef padhne se.

🌹Sham ke waqt surah waqiya padhne se.




Ghar mein barkat kin chizo'n se nahi aati hai???

🖤Jaldi-jaldi namaz padhne se.

🖤 Khade hokr peshab krne se.

🖤 Peshab karne ki jagha waju banane se.

🖤 Khade hokr paani pine se.

🖤 Muh se phook maar kr chirag bhujane se.

🖤 Daanto s nakhun katne ya khane se.

🖤 Daman ya aastin s muh ya haath saaf karne se.

🖤 Ghar me fasad (jhuti ladai) karne se.

🖤 Chugliya karne se.



Aaj k maahol me barkat na hone ki wajha yhi hai
Ki yh sabhi kam kahi na kahi har ghar me aaj aam ho gye hai hum sabhi ko in se bachna chahiye.

Namaz or Quran shareef ki tilawat ki pabandi karni chahiye.

Allah hum sabhi ko namaz ka paband banne ki tofeeq de or neik raah par chlay.

Ameen ya rab ❤️