Islam me shauhar aur biwi ke huqooq barabar hain lekin yaqeenan ek jaise nahi hai (they are equal but not similar). Allah ne dono ko alag fitrat par banaya hai, dono ke kaam alag alag hote hain. Kuch huqooq me shauhar bartari hasil karta hai aur kuch huqooq me biwi bartari hasil karti hai. Lekin Shariyatan ke hisab se dono ke huqooq barabar hote hain.
Rishta wahi kamyab hota hai jisko nibhane ki chahat dono taraf se ho. Isliye lihaza Shauhar - Biwi dono ko apne huqooq samjhna chahiye aur uspe amal karna chahiye
Allah Ta'ala Quran me Farmate Hain,
Wo (biwiya) tumhare liye libaas hain aur tum unke liye libaas ho
(Quran 2:187)
Libaas insan ki zinat badhata hai aur uske aib chhupata hai. Isi tarah shohar aur biwi ko bhi ek dusre ke aib chhupana chahiye aur dusro ke saamne zaahir nahi karne chahiye aur koi galti ho jaaye to narmi ke saath use sahi baat samjhani chahiye aur galat fehmiyo ki wajah se paida hone wale burai (mis understanding) se hamesha bachna chahiye aur ek dusre ki izzat ki hifazat karni chahiye aur ek dusre ki khubiya par nazar rakhna chahiye, khud bhi hamesha aise kaam karne chahiye ke ek dusre ki izzat badhe.
Aapas me mohabbat rakhen aur ek dusre par bharosa rakhe aur ek dusre se achhi tarah rahe.
Ek dusre ki acchaiyo par nazar rakhe aur kamiyo ko aur mamooli galtiyo ko nazar andaz kare.
Ek dusre ko sahi raay (sggestion) de aur islam seekhne aur us par amal karne ka bolte rahen. Aur ek dusre ki Akhirat ki fikr karen
Dusro ke saamne sharm aur haya se pesh aayen, aur aisa koi kaam na karen, jisse ek dusre ki izzat kam ho. Ek dusre ke raaz ya kamiyo ko chhupa kar rakhe, aur dusro ke saamne na bataen.
Ek dusre ki jaiz zaroorato ka khayal rakhe. Mard halaal rozi kama kar laaye aur ghar ka kharcha aur apni biwi ki zarooraton ko pura kare Aur Aurat uski halaal kamai se khaane ka aur dusri zaroorato ka khayal rakhe. Aur uske halal rizq par shukr aur sabr kare aur ghar ka, maal ka aur rishtedaro ka aur ghar walo ka khayal rakhe.
Ek dusre ke liye wafadar hon, shauhar kisi gair aurat ke baare mein ya biwi kisi paraye mard ke baare mein na soche, na usse taalluk (relation) rakhe. Apne humsafar ke samne kisi gair mehram ki tareef naa karen aur naa hi dusron se compare karen aur naa kisi gair mehram se dosti rakhen
Ek dusre ke Rishtedaaro ki izzat kare aur unse acchi tarah mile.
Kisi bhi musibat, bimari, pareshani mein ek dusre ke saath rahen, aur ek dusre ko himmat dilane waali baat karen. Aur Koi galti ho jaaye to us baat ko aaram se, pyar se samjhayen
Aisa koi kaam na kare, jisse ek dusre ke liye dil mein shak paida ho. Agar shauhar ko kuch kaam ya tarika pasand nahi to biwi iska dhyan rakhe, aur agar biwi ko kuch baat pasand nahi to shauhar dhyan rakhe.
Allah Ta'ala se ek dusre ke liye dunya aur aakhirat me bhalai ki aur khairo barkat ki aur salaamati ki dua kare. Jab Shauhar Biwi ek dusre ko pyar se dekhte hain to Allah dono ko khush hokar (pyar se) dekhta hai.
Agar in sab cheezon ko ek tarfa nibhaya jaa raha hai to, rishta ek na ek din kamzoor pad jayega ya toot jayega. Jab dono taraf se nibhaya jaa raha hai to wahi rishta waqt ke sath mazboot hota hai. Shauhar-Biwi ka rishta bahut pyara hota hai, ek dusre ke sath pyar mohabbat se rahiye.
Jo nikah karne wale hain, koshish karen ki ek nek Akhlaaq aur deendar insan se karne ki. Nek Akhlaaq hi hain jo zindagi ko khoobsurat banati hai.
Allah Hum sab ko nek humsafar se nawazen.
Allah har Shauhar - Biwi ko ek dusre ko samajhne, ek dusre ki izzat karne, ek dusre ka khayal rakhne, ek dusre se pyar karne wala, fikar karne wala, bharosa kaayam rakhne wala bana de, ek dusre ki Akhirat ki fikr karne wala banade.
Source : @flower_of_jannaah
0 Comments: