Aulaad ki Tarbiyat – Part 4
C). Tarbiyat ka 3rd Marhala ›
Aulaad Ladka ho ya Ladki dono ko Qabool karey:
Ab Allah ne Aulaad ata kardi aapko, tou ladka ho ya ladki dono ko Qabool kariye khushi se. warna aisa na ho ke jis tarha Dour-e-Jahalat me hota jo Quraan me Allah ne farmaya ke: “Jab kisi ko khabar di jati ke usey Ladki hui hai tou uska muuh siyaah aur kala ho jata” gham se aur pareshani se aisa na ho yaad rahiye. Jabki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) apni Ummat ko basharat detey hue farmatey hai ke:
“Jisko 3 ladkiya ho aur unki Acche se Tarbiyat karey, unka Nikaah kara dey tou wo Shakhs Jannat me mera Padosi hoga.”
♥ Subhan’Allah. Allah ke Rasool Jannat ki basharat de rahe hai betiyo ki Paidaish par, lekin Afsos ke hum log Maddaparast Dunia ke fareb me aakar apni Bacchiyo ki Paidaish ko boz samjhne lage hai.
Allah hume kehne sun’ne se jyada Amal ki taufik dey.
D). Tarbiyat ka 4th marhala:
Aulad ka Aqiqah karey
Aulaad ki paidaish ke 7 ve din uska Aqiqah karna ye bhi uski tarbiyat me se ek hai. isiliye kyunki jab baccho ko ye pata chalega ke uske Waldain itney Sanjida they uski Tarbiyat ke liye ke uski paidaish se pahle se hi uske liye Acchi (Nek) Maa ka intkhab kiya, uske liye Allah se Dua karte rahe aur paidaish ke baad Sunnat ke mutabik 7 ve Din me Aqiqah kiya tou ye Baccha bhi Deen ki taraf mayeel hoga.. aur ye Aulad ke huqooq me se bhi hai ke 7ve din uska Aqiqah kiya jaye.
Lekin afsos ke jab Dushmanan-e-Deen ne Islam par waar karna Shuru kiya tou sabse pahle Nabi ki Sunnato ke bilmukabil Fizul ke Rasmo Riwaj Ijad kiye.
Jabki Sunnat tou ye hai ke 7 ve din Aqiqah kiya jaye lekin Sunnat ki Mukhalifat me Aaj humare Mu’ashare me 6th ve din chatti ki jaati hai. aur usme bhi tarah tarah ki Rasme ki jaati hai jiska Shariyate Islamiya se koi talluk nahi. Allah bachaye hume in khurafato se ,..
Lihaja ladka ho ya ladki ho Sunnat se sabit Aqiqah kiya karo unka. ladki ke liye ek Baqra aur Ladke ke liye 2 Baqre Zubah karo,.. Accha sa Naam rakho unka , ija dene wali cheez unse door karo yaani unke Baal Tarshwao,.. aur istehaat ho tou unke baal ke wajan ke barabar chandi taqseem karo Garibo me,.. aur ladka ho tou khatna kiya jaye. ye Aulaad ka Haq hai.. yahi unki Tarbiyat me Shamil hai.
Aqiqah ki Ahmiyat ke talluk se riwayat me aata hai ke: Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai –
“Har Bacha Apney Aqiqah ke sath Girwi hota hai’ lehaza uska Aqiqah 7ve din karey aur Bacchey ka Naam bhi Rakha jaye..”
– (Abu Dawud 2837 and At-Tirmithi 1522)
Yaani Allah ne ek nemat di hai Aapko, tou abhi wo Girwi hai Allah ke paas, usey churaiye uska aqiqa karke. Aur jab usey pata chalega ke “Beta humne tumhara Aqiqah Allah ke Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki Sunnat ke mutabik kiya tha, tumhare paida hone se pahle hi tumhara naam tay kiya tha” tou Maa-Baap ki us justju aur koshish ko dekhkar uss bacche par bhi kya asar hoga jara gour hi kijiyega.
Aur isme bhi ek Aham baat ye hai ke unke Acche Naam Rakhey. aur uss naam ko Shakshiyato se Wabasta rakhey yaani “Beta humne Aapka Naam Salman isliye rakha ke ek Sahabi they Salaman Farsi (R.A.) unke imaan laaney ki dasta aisi aur aisi hai. ” tou aapki Aulaad bhi uss Seerat par gour karegi,.. aur unki tarha ban’ne ki justju rakhengi.
Warna Naamo ke kya kuch Galat Asarat nahi hotey beharhaal bataney ki jarurat nahi. “kyuni jab bacchey ka naam tou Salman Bhaijan se mutasir hokar rakha aapne fir wo usi bhaijan ko role model banakar zindagi bhar nachata rahega aapko,..”
Tou beharhaal Aulaad ki paidaish ke 7ve din Sunnat ke mutabik uska Aqiqah kare. warna humne Sunnat ko chorr Biddate apna li, tou humari Aulaad bhi Biddato ke aadi ho jaengi, kyuni Shaitan ne tou har cheez me wargala diya momino ko, ki tum Sunnat ko kaha Amal me la rahe ho ? ,.. Biddatey karo,. Khurafat karo,.. Rasam Rasmaney karo,.. usi me tou maza hai ,. Allah hume bachaye tamam Gairsharayi amaal se.
To be Continue …
0 Comments: