Thursday, October 31, 2024
Monday, October 21, 2024
Show Affection towards your children
Allah's Messenger (peace be upon him) kissed Al-Hasan ibn `Ali while Al-Aqra` ibn Habis At-Tamimi was sitting with him. Al-Aqra` said, “I have ten children and have never kissed one of them.” The Prophet cast a look at him and said, “Whoever is not merciful to others will not be treated mercifully.”
(Al-Bukhari)
Tuesday, August 20, 2024
Khel kood ka nazm aulad ki tarbiyat me
M).Tarbiyat ka 13th marhala
Khel kood ka nazm aulad ki tarbiyat me
Khel kood ka nazm bahut aham cheez hai yaad rakhiye, lekin aaj mukkamal is shobe ko humne khatm kar diya hai aur Khel khud ka koyi nazm hi baki nahi raha, jabki waledain unko khud aise khel khelwayen jisse unke sehat aur nashonuma hoti rahe, aur har waqt me har marhale me alag alag cheez unko khel waiyye jaise Swimming aap karwa sakte hai chote baccho ko, Cycling aap karwa sakte hai, isi tarah aise games jinse unke andar sehat barhti ho jaise aap unhki Doud (race) lagwaye, competitions karwaiye, ye bahut aham cheez hain yaad rakhiye isko mat bhulaye.
✦ Baccho ko Khel kood ki Ahmiyat :
Jab waledain baccho ke Khul kood par tawajjo nahi dete to wo mukammil khel khud me dub jata hai. jabki Waledain ko chahiye ke wo khud ko kahe chalo ab khelne ka waqt hai bete tumhara. Hum khelenge aur nahi hai tou aap dosto ko bulao hum khel karenge aapke sath ye hona chahiye. Yaad rakhiye ye nahi hoga tou bache bolenge are waledain ko kya samajh me aata hai.
Bacho me yaad rakhye extra energy hoti hai uska istemal karwana chahiye, aap nahi khelne denge tou wo kahi bhi jaker kuch bhi karke usko istemal karlenge. lihaja Usko khelne ke liye ek nazm banaiye, achcha sa aur yaad rakhiye muslim ki ek riwayat hai Aap (Salallahu Alaihi Wasallam) farmate hai “Taqatwar momin Allah ke yaha kamzor momin se zyada behtar hai.”
jabki khair tou sabme hai har momin khair hai.”lekin wo momin jo jismani aitebar se takatwar hai Allah ke nazdeek mahbub hai isliye kyun ki ibadaton me riyazaton me aur Allah ke deen ke liye zyada mehnat kar sakta hai banisbat kamzor momin ke, halaki khair tou sab me hai lekin achcha kaun hai mahbub jo zyada taqatwar ho.
tou khel kood ka inke liye nazm kare isi tarah isme competition karwaiye mukabale karwaiye.
✦ Bacchon me Competition karwaye:
Baccho me acchi sehat aur kuwwat ke liye aksar mukable karwaye, misal ke taur par aap 5-6 bhai hai jinke bache hai sabme competition lagwaiyye ke aaj jo falan kaam karega usko ye inam milega aaj jo fala khel khelegha usme jeetega usko ye inam milega, Is tarha ke competition karwaiyye.
Umar bin khattab (RaziAllahu Anhu) bacho me competition rakhwate they taaki jismani aitebar se khub nasho numa paye aur Allah ke deen ke liye jihad ke liye taiyyar ho. tou uske liye competition karte, kushti, tirandazi, tairaki (Swimming) aur ghode ki sawari ( horse riding) ke khel hote they tou ye khel unko khelwaiyye waladain is talluk se koshish kare isi tarah competitive exam me inhe le jaen, exam me inko shamil karwayen jahan tak ho sakey isse unme justaju paida hoti hain.
✦ Nasrani Badshah ke 4 sawal aur Abdullah bin Abbas (R.A.) ke Jawab.
Ek waqiya hai Ameerul Momineen Umar bin Khattab (R.A) ke Zamane me ek Nasrani badshah ne 4 sawal Ameerul Momineen ko likh kar diye aur kaha inke mujhe jawab do agar waqay me tum kitab ke hamil ho tou.
Ameerul momineen ne wo sawalat liye aur kaha Abdullah ibne Abbas (R.A) se kaha ke tum jawab de do.
Abdulla ibne Abbas (R.A) ne liya aur jawab dene lage.
Pehla sawal usne ye kiya tha ke Aisa kaun sa muqam hai duniya me jaha suraj ki roshni sirf ek bar pohchi hai aur ab qayamat tak nhi pahuchene wali ?.
Dusra sawal Kaun se 2 Judwa bhai hai Jo paida tou sath me huye aur mare bhi sath lekin umar me 100 saal ka farq tha dono me ?
Tisra faramaya Aisa kaun sa insan hai jo Qabr me ho lekin zinda ho, uski Qabr bhi Zinda ho usko lekar ghumti ho aur uske baad phir wo Qabr me se nikle aur tab bhi wo Zinda rahe.
Chautha Sawal: Aisa kaun sa jail (qaidkana) hai jaha mujrim ko sans lene ki ijazat nahi ?
ye 4 sawal badshah ne jab diye to fauran Abdulah bin Abbas ne sawal liye aur Badshah ko likh kar jawab de diye.
Abdulla bin Abbas (R.A) ne 1. pehla sawal ka jawab diya “Ye wo bahre ahmar ka hissa hai jaha se Musa (A.S.) bach nikle jo samundar khula roshni gayi ab Qayamat tak roshni nahi ja sakti samundar agaya wapas. Ab qayamat tak wahan roshni nahi jayengi.
2. Dusra sawal ka jawab diya Uzair (A.S) aur unka bhai, 3. tisre sawal ka jawab ye diya Yunus (A.S) hai jo machli ke pait me the jo ke ek qism ki qabar hai aur wo machli unhe lekar samundar me ghumti rahi, baad me lakar kinae par fenk deya .jab ke wo bahar Zinda nikle.
Aur chauta(4) sawal ka jawab diya ke “Wo Maa ki kok aur pet hai jaha bacha zinda tou hota hai magar sans nahi leta .
Jab badshah ko in sawalat ke jawab mile tou dang ho gaya aur kaha lagta hai abhi bhi inme koyi Nabi zinda hai. SubhanAllah!
To be continued …
Dost aur Ahbab ka kirdar Aulad ki Tarbiyat me.
Aulaad ki Tarbiyat – Part 10
Dost aur Ahbab ka kirdar Aulad ki Tarbiyat me.
Aulaad ki Tarbiyat me dost aur ahbab ka bhi aham role hai warna acche acche bacche bigad jate hain. Yaha walid ka ye kaam hai ki Humare bacche aur bachiyan kaha jate hain aur kaun kaun unka dost hai, unke Akhlaq kya hai unke muamlat kya hai wo kiske bacche hain unki kamayi kaisi hai ispar pura nazar rakhe aur dhyan dene ki zarurat hai.
Aaj kal dekha jata hai ke, baaz martaba baccho ko Maa Baap toka karte hain ke wo falah bache ke sath raho wo bohot Ameer hai. Subhan’Allah! aap Ameeri ko tarjeeh de rahe hai? jabki aap ko ye kehna chahiye ke beta Deendaro ke sath raho wo deendar hai us’se dosti karo aur bure baccho se door raho jo gandi gandi batein karte hain.
Aaj kal dekha jata hai ke, baaz martaba baccho ko Maa Baap toka karte hain ke wo falah bache ke sath raho wo bohot Ameer hai. Subhan’Allah! aap Ameeri ko tarjeeh de rahe hai? jabki aap ko ye kehna chahiye ke beta Deendaro ke sath raho wo deendar hai us’se dosti karo aur bure baccho se door raho jo gandi gandi batein karte hain.
✦ Acche dosto ka intehkhab kare
Aajkal Hum dekhte hai maaldar koun hai taaki humara baccha high society me uthey aur baithe ye sab falthu batein hain yaad rakhiye , jabki deendar baccho me rakhiye! Unke Akhlaq dekhiye kaise hain jin baccho me humara baccha aur bacchi reh rahi hain, unpar nazar rakhiye ke aise bacho me rahe jo ba-akhlaq ho ba-adab ho baqeerdar ho aur Achche khandano se taluk rakhte ho yaani nek aur deendar khandan. Warna Shaitaan Bacho ko bahut asani se uchak leta hai is muqam par.
Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) farmate hai ek hadees ke andar ke “Aadmi apne doston ke deen par hota hai.” Matlab aadmi wo kaam karta hai Jo uske dost aur saheliyan karti hain tou aadmi apne doston ke deen par hota hai, lehaza tum me se har fard ko ye khayal karna chahiye ke woh kis se dosti kar raha hai.
Agar mai bada ho chuka tou mai tou samaj sakta hun ke mai fikr karu lekin jab bacche chote hain tou ye cheez samajte nahi hai , lihaja waledain fikr kare ke unki Aulad ka jo dost hai accha rahe aur apne aulad ki acche doston se dosti karwaiye.
Ek arbi shayar hai unhone ek sher likha aur kaha ke “Aadmi ke akhlaq ke bare me janna hai tou usse mat pucho balke ye dekho uske dosto ka Akhlaq kya hai jaise dosto ka Akhlaq hai wasse uske honge .
English me bhi ek misal hai “Birds of Same Feather Fly Together.” Ek jaise qism ke pareende ek sath hi urte hai.
Gande log ek sath rehte hai acche log bhi ek sath rahte hai, chor uchakke ek sath rahte hai har qism ka ek tabqa hota hai wo ek sath rehna pasand karta hai , tou doston se humari aur aapki shanaqt hai, lihaja achche logo se dosti karwayiye apne baccho ki.
to be continued.
School, College aur Darasgah ka kirdar Aulad ki Tarbiyat me
Aulaad ki Tarbiyat – Part 9
K). Tarbiyat ka 11th marhala :
School, College aur Darasgah ka kirdar Aulad ki Tarbiyat me
Aulaad ki tarbiyat me Maa Baap ke baad sabse aham muqam Darasgah(schools & college etc) ka hai, tou ek walidain ke liye zaruri hai ke acche Darasgah, accha School accha College, acche Madarse ka intekhab kare apni Aulad ke liye.
Hum dekhte hai ke aaj Duniya ne ye tarika banaya ke apne mazhab ke tablig ke liye wo school khol rahe hai Isaiyon(Christian) ne, Hinduon ne aur bhi mazhab walo ne apne School khol diye aur unhone in schools ko taleemi darasgah banaya taki wo apne mazhab ki tablig kare.
✦ School ke bare me Musalmano ki kotahi ka Anjam :
Aaj afsos ki baat hai ke Musalmano ne is field me koyi kaam nahi kiya, Madarse tou bahut banaye lekin darasgah ke liye kuch kaam nahi kiya, Illa mashaAllah. fir majburan humare Bacchon ko jana padta hai aise schools me, aisi Darasgaho me jaha usko aadha issai(Christian), aadha Hindu bana diya jata hai unki taleem khatam hone tak.
Jahir si baat hai kab tak ek bacha us School me jakar issaiyat(Christianity) se bachta rahegha jaha roz prayer ho rahi hai Isa Alaihi Salam (jesus christ) ke naam se aur wo khada hai 10 saal se waha ja kar wo kitne din bach payega uss takreero se, un baaton se ?.
Tou Musalmano ne ispar koyi kaam nahi kiya jab ke aaj Duniya ne apne deen ke tableeg ka markaz bana diya School ko humne is muamle me koyi mehnat nahi ki aur agar ki bhi tou deen se alag karke kiya. aur aise school khole jaha Islam ki kuch batein nahi batayi jati hai.
Gair Musalmano ne Taleem aur mazhab ko sath kar diya aur Musalmano ne alag kar diya. Hume bataiyiye aisa koi Isai(Christian) missionary school jaha church nahi? lekin hume batayiye aisa koyi school jaha Masjid ho batayiye koyi School agar aap jante ho tou? …
✦ Islamic Schools ki Jarurat :
Lihaja Apne Bacche ke liye aise School ka intekab kijiye jahan Deeni aur Dunyawi taleem dono sath chalte ho. Ab koi kahe aisa school na ho tou kya kare tou phir aise schools ka intekhab kijiye jo mukammil Neutral ho aur sath me aise ustad ka intezam kijiye jo Quran padhaye, Hadees padhaye aur isi tarah Dua Zikr-o-Azkar karwaye sikhaye. tou jaha School jayega wahi uske liye ustad ka intezam kare. lekin jaha ye dono taleem sath nahi diye jarhe ho to apne baccho ko Masjid bheje taaki wahan moulana usey Qurano Hadees padhna sikhaye aur yaad karwaye aur Deen ka Ilm de taki aapka baccha gumrahiyo se mahfuz rahe.
Isi tarah agar Musalman Zimedar log hai Jo ye takat rutba aur makam rakhte hai wo zarur aise Society qayam kare jaha School tameer kar ke iske andar Deeni aur Duniyawi taleem dono ek sath ho.
To be continue …
Baap ka Kirdar Aulad ki Tarbiyat me
J). Tarbiyat ka 10th marhala :
Baap ka Kirdar Aulad ki Tarbiyat me
Aulaad ki tarbiyat me sirf Maa ka hi Nahi balki Baap ka bhi ek Aham Kirdar hai. lekin Maa se jara Mukhtalif hai. Maa ka role ye hai ke “ke dekho beta tum ye sikh jao, agar tum aisa nahi karoge tou mai tumhare walid se tumhari shikayat karungi,. fir tumhe mare tou mujhe na kehna kuch.”
Tou walid sirf Nigah Daudane par rahenge baccho par “ke kya hua beta tumhara subha se kitni baat tumne apni walida ki nahi suni.” is tarha se samjhao usey , yahi aapka aham Role hoga
Lekin afsos ki baat hai ke Aaj bohot se martaba dekha jata hai ke Walid (baap) apna role ada nahi karte balki jakar Baccho ko Jyada bigaad detey hai,.. “kaha hai mera baccha, Subha se nahi dikha, kis kis ko Maara? bohot accha kiya” Subhan’Allah.
Baccha bolta hai Accha! Baap se tou strong support mil raha hai mujhe. ab mai kuch bhi kar ke aau tou Baap ladne ke liye tayyar hai meri taraf se.
Yaad rakhiye “Jin Ghar me Baap Baccho ko aise kaamo me support nahi karte un Ghar ke Bacche bahar ladna bhi pasand nahi karte, kyunki unhe maloom hai ke agar hum ladenge tou Baap ulta hume hi pitega.” Aur jin ghar me Baap hi kehta hai ke “Jao ladho! hum tumhare piche khade hai..” is tarha se targib dete hai galat kaamo ke liye wo Bacche bhi kaise Gundey nikaltey hai aur Baadme Baap ko bhi thoktey aur maarte hai ,.. kyun tou usne tarbiyat hi yahi di Apne Bacche ko.
✦ Baap ki Zimmedari :
Lihaja Baap ka role Aulad ki Tarbiyat me hai lekin mukhtalif hai maa ke mukable me. Maa ka role ye hai ke wo teacher hai jo sikhati rahengi, aur Baap ka role Examiner ka hai jo aa kar test lega ka.
Jaise ke “kya kya sikha aaj ?,.. kya hua kaise raha tumhara muamla dinbhar ka ?,.. koi galat kaam tou nahi kiya aaj ?,.. Nasihat suni maa ki ?,.. School aur tuition gaye they ? ,. Arbi ki kitni tayyari hui ? ,.. falah aur falah is tarha sikhana beharhaal Baap ki Zimmedari me se hai.
Maa ki tarbiyat ke baad bacche ke liye 2 hi log hai. Ek Baap aur Dusra Ustad (Teacher). Ye do log hai jo iski tarbiyat Ghar se bahar karenge.
Jaisa ke tum yaha ja rahe ho tou aisa jao,.. logon ko Salam karo Beta,.. Masjid aise jaya karo,.. Saff me aise khadey raha karo,.. logon ko taklif na dena,.. padosiyo ko mat satana. is tarha se bahar ka role Baap ada karega aur uskey teacher, ustad ada karenge. ye do log ab aham Shakhsiyat hai Maa ke baad Zindagi me.
Tou jaha Maa Ghar me tarbiyat kar rahi hai, Kalimaat sikha rahi hai, usi tarha Baap usey bahar ke Aadab aur Akhlaq Sikhayega.
۞ Luqman (Alaihi Salam) ki Apne Bete ko Nasihate Baap ke liye Namuna hai :
Surah Luqman me Aap gour kijiye ke kya nasihate karte hai Luqman (Alaihi Salam) apne bete ko:
" Aye mere bete! Allah ki hi Ibadat karna, uske sath kisiko Sharik na thehrana, aur Namaz qayam karna, Roza rakhna,.. Takabbur mat karna, aur yaad Rakhna ke tum Gunaah chahe ek Patthar ke Andar karo ! Allah usko logon ke samne Zahir karega, khule chupe koi burayi na karna".
– (Mafhoom-e-Quran; Surah Luqman)
♥ SubhanAllah! tou Luqman (Alaihi Salam) ki Nasihate ek mukaam rakhti hai ke waisa role ada karey walid hazraat apni aulad ki tarbiyat me.
To be continue …
Maa ka Aham Kirdar
I). Tarbiyat ka 9th marhala
Maa ka Aham Kirdar
Bacche ki Tarbiyat me Maa ka kirdar bohot hi Aham hota hai yaad rakhiye , isiliye ke Maa Zimmedar hai Aulad, Shohar aur Shohar ke Gharwalo ki.
Ek Nahna Munha baccha apni Maa ko Sajda karte hue dekh wo bhi sajde me chala jata hai, halanki usko kuch bhi samjhta nahi , tou wohi Nanha Munaa Baccha jab Maa ko Jhuth bolta hua dekhta hai tou jhutha bhi ban jata hai, Chugalkhori karte hue sunta hai phone pe tou khud bhi chugliya karne lag jata hai, Dhokhadhadi sunta hai tou Dhokeybaaz ban jata hai , Maa ko Duniyaparasti me mubtela dekhta hai tou khud bhi Duniyaparast ban jata hai. Tou Maa ka Deenpar hona apne Aulad ki tarbiyat ke liye intehayi jaruri hai yaad rakhiye.
Isiliye kisi kehne walo ne badi khub baat kahi ke “Maa Bacche ka pahla Madarsa (School) hai” agar yaha wo paas ho gaya tou aagey kamiyabi hai aur yaha wo fail ho gaya tou aagey kya ho sakta hai beharhaal Allah reham karey.
Aur jab Maao ne koshish ki apne Aulad ki tarbiyat me tou humne Aisi-Aisi shakhsiyaat dekhi jo duniya ke liye misaale ban gayi , Jaise Abdulaah ibn Umar (R.A.) ! andaza lagaiye kya inke Walid Umar (RaziAllahu Anhu) ke paas itna wakt hua karta tha ke wo apne Aulad ki tarbiyat kar sakey?.. Jihad me lagey hai RasoolAllah (ﷺ) ke sath, mahino-mahino tak ghar aana nahi hota.
Usi tarha Abdullah-ibn-Abbas (R.A.), Osama bin Zaid (R.A.) aur lambi fehrist ginayi ja sakti hai aise Sahaba, Tabeyeen , Tabey Tabeyin ki jinka naam aaj hum fakr se letey hai , jinhe Allah ne Sirate Mustakeem par Roshan Chirag ki tarha tamam ummate muslima ke liye misale bana di. kya in ke walid ke paas itna wakt hua karta tha ke wo Aulaad ki tarbiyat kar sakey. Nahi ! ye tou unki Walida (Maa) ki koshish thi jo aaj tamam ummate muslima ke liye misaale hai.
Aur aaj humari maao ne wo Zimma chorr diya fir jo Aulade dikhi beharhaal uska namuna aap sirf ek gali se gujar jaiye jisme ho sakta hai ke aapke gujarne tak aap hazaar gaaliya sun le aur hazar nuksanat aur taklife aapko jhelni padey. Allah Reham karey..
Ye tou Akhlaakh ka muamla hai, ye halaat hai humare muhallo ke , aur ye haalat sirf bahar nahi balki gharo me bhi Bacche apne Maa–Baap ke sath yahi suluk karte hai, kyunki inki tarbiyat par koi dhyan diya hi nahi gaya. ye tou jangli jhaad ki tarha hai jo bus aagaye, ho gaye acche tou ho gaye na hue tou koi inka Pursane Haal nahi.
Tou Maao ne jab apni Zimmedari nibhana chor di tou humne ye natije dekhe, jabki Maa hi Aulad ka pahla madarsa hai. inko chahiye ke ye Aulad ki sabse jyada Acchi Tarbiyat karey.
✦ Maa ki galat tarbiyat ka natija :
Maaye jab tarbiyat acchi nahi karti tou Baap chahe kitna hi Deendar ho kuch asar nahi hota, Aayiye Quraan-e-Kareem se ek Misaal par gour karte hai.
Nooh (Alaihi Salato Salam) Allah Ta’ala ke barguzida Nabi hai , 950 Saal Allah ke deen ki tablig karte hai, lekin Aapki Biwi iman nahi laayi jiska natija ye hua ke apka beta bhi iman nahi laya,. jab maa buri thi tou beta bhi burayi ikhtiyar karta hai,.. yahi haal Lut (Alaihi Salam) ki Aulad ke sath bhi hua,. kyunki Maa bedeen thi lihaja Aulad bhi Bedeen nikli.
Ye do Ambiya (Alaihi Salam) Nabi they Allah ke lekin inki Biwiya Kafir thi. Natijatan inki Aulad bhi kufr ikhtiyar kar letey hai.
Tou Maa ki galat tarbiyat ka natija Nooh (Alaihi Salam) jaise Nabi ka beta bhi baat nahi maana nabi ki, tou Maaye apna role yaad rakhiye ke inki galat tarbiyat ki wajah se bacche bigadtey hai tou Roze Qayamat ye Azabe Jariya ban’ne wala hai.
✦ Maa ki Sahih Tarbiyat ka Asar :
1) Umme Sulem (Razi’Allahu Anha) ka apni Aulaad ki tarbiyat ka tazkira karte hai ke jab inke Shohar yaani Anas bin Malik (R.A.) ke walid (Maalik) they.
Ye Wakiya Allah ke Rasool (ﷺ) ke Hijrat se pahle ka hai Jab Umme Sulem (R.A.) Madina me thi aur Iman layi aur inke Shohar Maalik jab ghar aaye tou inke Shohar ne kaha ke tum tou bigad chuki ho(unke hisab se) , Mohammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke Deen pe gayi ho, lekin mere betey ko mat bigadna. lekin Umme Sulem (R.A.) baar baar apne betey se kehti ke kaho Anas “la-ilalaha-illalah !” aur Anas(R.A.) Maa ki baat sunkar keh detey they “la-ilalaha-illalah”
Tou Anas (R.A.) ne Baap ki baat na mantey hue Maa ki baat suni, kyunki Maa ka Asar Baap se jyada hota hai Aulad par.
2). isi tarha Hajra (Alahi Salam) bhi ek misaal hai maao ke liye. ke kaisi tarbiyat ki thi unhone apne Bacche Ismayeel (Alaihi Salam) ki , ke jab Baap yaani Ibrahim (Alaihi Salam) 3 se 4 martaba puri zindagi me aatey hai Ismayeel (Alaihi Salam) ke paas, aur jab aakar kaha ke Qurbani ko chalo, tou Ismayeel (Alaihi Salam) ne bina koi sawal kiye kaha ke chalo, Aye mere walid! jo Aap behtar samjhtey ho, jo dekha hai Khwab me kar gujro “Satjiduni in’sha’allahu ma’sabreen!” (in’sha’allah aap mujhe sabr karte hue paoge).
Tou aisa koi Beta ho sakta hai ke Baap itne Zamane baad aaye aur kahe chalo Zuba karna hai aur chale jaye unke sath. ye tarbiyat thi Hajra (Alaihi Salam) ki apne Aulad ki. Lihaja Maa sabse pahle apne aap ko tayyar kar ley aur agar inhone apna Haq ada nahi kiya tou Roze Qayamat ye tayyar rahe apne Azab ke liye.
To be continue ..
♥ in sha Allah ! agley part 8 me hum Baap ka bhi role dekhenge Aulaad ki tarbiyat me.