Thursday, October 31, 2024

Walidain ke Nafarman ki Sazaa




۞ Apne maa baap ko uff bhi na kaho

Aur tumharey Rab ne farmaya hai ki uskey siwa kisi ki ibadat na karo aur Maa baap (parents) ke Saath Bhalaii (neki) kartey raho aur agar tumharey samney unmein se ek ya dono budhapey ko pahunch jaye to unhey UFF bhi na kaho aur na unhey jhidako aur unsey Adab se baat karo aur unkey samney Shafqat se Aajazi ke saath jhukey raho aur kaho ki Aye Mere Rab jaisey unhoney (mere maan baap ne) mujhe Bachpan se paala hai isi tarah tu bhi un par reham farma”

📕 Surah Al-Isra 17:23-24



✦  Hadith : Abu Abdur-Rahman As-Sulami Rivayat kartey hain Abu Darda (R.A) se ki unhoney kaha RasoolAllah (ﷺ) ne faramaya “Walid (father) jannat ka darmiyana (beech ka) darwaza hai, isliye teri marzi usey zaya kar ya mehfooz rakh.”

📕 Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1959-Hasan




Hadith : Abdullah ibn Umar (R.A) se rivayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya “Allah Subhanahu ki Raza walid (ya Walidain) ki khushi mein hai aur Allah Subhanahu ka Gussa Walid (ya waldain) ki narazgi mein hai”

📕 Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1960-Hasan




Hadith : Anas (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) se badey (kabira) Gunahon ke baarey mein pucha gaya tou Aap (ﷺ) ne farmaya:
(1) Allah ke saath kisi ko Sharik karna, 
(2) Waaldein ki nafarmani karna, 
(3) Kisi ki Nahaq jaan lena , 
(4) aur Jhooti Gawahi dena. (ye sab Kabira Gunah hain)

📕 Sahih Bukhari, Vol 4, 2653

Previous Post
Next Post

0 Comments: