Wednesday, October 16, 2024

Beti





Neshaq........Islam ke andar betiyon ko "rehmat" kaha gaya hai, yani Allah ki rehmat aur barkat. Hazrat Muhammad (S.A.W) ne apni beti Hazrat Fatimah (R.A.) se jo mohabbat ki, wo sab Musalmanon ke liye ek misaal hai. Aap (S.A.W) jab bhi unhe dekhte, to khud kharay ho jate, aur unki izzat mein unhe apni jagah dete. Yeh sab kuch betiyon ki azmat aur unki ahmiyat ko samjhata hai.



Is quote mein jo yeh baat kahi gayi hai ke "agar beti ki zaat muqaddas na hoti", iska matlab hai ke agar beti ka maqam paak aur izzat wala na hota, to Nabi-e-Karim (S.A.W) ka silsila-e-nasab ya aulaad unki beti se shuru na hoti. Hazrat Fatimah (R.A.) se unki aulaad chali, jo aaj tak Ahl-e-Bayt ke naam se jane jate hain.


Iska zikar yeh sabit karta hai ke Islam mein betiyon ko sirf mohabbat hi nahi, balki unka ek buhat buland maqam bhi diya gaya hai. Wo sirf ghar ki zewar nahi hoti, balke ek barakat ka zariya bhi hoti hain.

Islam is in the Heart Hijab comes naturally



They say Islam is in the Heart Not in the Hijab. 
They don't understand that when Islam is in the Heart Hijab comes naturally.

Ijazat



Beti Ka Nikaah Uski Ijazat se Kiya Kare
Yeh Beti ka Haq Aur Hamare Nabi (ﷺ) ki Sunnat hai

Beti ka Naseeb




Beti ka Naseeb 


Mard Apni Jawani Ke Aamaal Se Apni, 
Beti Ka Naseeb Likh Raha Hota Hai...

Baap, Beti ko itni Nazakat se parwan chadhata hai




Baap, Beti ko itni Nazakat se parwan chadhata hai.. ke phir woh kisi Mard ki Ghusse wali Nazar bhi Mushkil se hi Bardasht krti hai.. 
Or Tum use Talkh lehzo se Apna banana chahte ho..

Beti




#Beti Woh Niyamat Hai 
Jab Hazrat Fatima (Rz) Tashreef 
Laati Toh Allah K Mehboob Bhi 
Isteqbaal Ko Uth Kar 
Khade Hote the K Meri Beti Aai Hai

Naseeb likhny wala.....




Betiyon ki shadi k liye preshan na ho 
Naseeb likhny wala sabka Naseeb achhaa likhyga... ❤️

Shadi beti ka Haq aur Sunnat e Nabi (ﷺ)



Pasna

Beti Jab Pasnd Ka Izhar Kare To Use Behaya Aur Bura Na Bolo Pasnd ki Shadi Betiyo'n Ka HaQ hai Aur Nabi Paakk (ﷺ) Sunnat Hai