Thursday, August 27, 2026
Naik Aulad ke Liye Dua
Rabbi hab lee mil ladunka zurriyyatan taiyibatan innaka samee'ud du'aaa'
Mere Parwardigaar mujhe apni janib se aulad-e-saleh ata farma. Tu beshak dua sunne (aur qubool karne ) wala hai
Al Qur'an 3-38
Rabbi hab lee minas saaliheen
Aye Parwardigaar mujhe ( aulaad ) ata farma (jo) sa-aadatmandon mein se (ho).
Al Qur'an 37-100
Rabbi laa tazarnee fardanw wa Anta khairul waariseen
Mere Parwardigaar mujhe akela na chhod aur tu sab se bahtar waris dene wala hai
Al Qur'an 21-90
رَبِّنَا هَبْ لَنَا مِنْ أَزْوُجِنَا وَذُرِيَتِنَا قُرَةَ أَعْيُنٍ وَاجْعَلْنَا لِلْمُتَّقِينَ إِمَامًا
Rabbanaa hab lanaa min azwaajinaa wa zurriyaatinaa qurrata a'yuninw waj 'alnaa lilmuttaqeena Imaamaa
Aye mere Parwardigaar humko hamari biwiyon ki taraf se ( dil ka chain) aur aulaad ki taraf se aankh ki thandak ataa farma aur hume parhezgaaron ka imaam bana
Al Qur'an 25-74
Note:- Ye Dua Naik Rishte ke liye bhi mang sakte hain aur husband wife ke dil m muhabbat ke liye bbi ..aulad ho usko naik banane ke liye bhi ...mtlb total puri achhi family ke liye All in one dua h ..sab manga karo
Rabbij 'alnee muqeemas Salaati wa min zurriyyatee Rabbanaa wa taqabbal du'aaa'
Aye mere Parwardigaar! mujhko (aisi tofeeq inayat) kar ke namaz padhta rahun aur meri aulaad ko bhi (yeh tofeeq baksh ) Aye Parwardigaar! Meri dua qubool farma.
Al Qur'an 25-74
Note:- Ye Dua apne aap ko aur aulad ko naik banane m padh sakte hain ..aur aulad mngne m bhi
Aur kaha ke apne Parwardigaar se maafi maango ke woh bada maaf karne wala hai .Woh tum par aasman se meinh barsayega .Aur maal aur Aulad se tumhari madad farmayega aur tumhe bagh ata karega aur (unme) tumhare liye nehrein baha dega .Tum ko kya hua hai ke tum Allah ki azmat ka atiqaad nahi rakhte.
(Al Qur'an 71: 10-13)
Monday, August 24, 2026
Shatranj aur Chausar Khelne Walo Ki Misaal
Shatranj aur Chausar Khelne Walo Ki Misaal
Mafhoom-e-Hadees : Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya "Jo Shatranj (Chess) Aur Chausar Khelta Hai Wo Uss Aaadmi Ki Tarha Hai Jisne Apne Haath Suar (Pig) Ke Gosht aur Khoon Me Rang Liye Ho.." -
📕 Sahih Muslim Book 028, Hadith no. 5612 (English Reference)
# Wajahat: ye aise games hai jiski wajah se banda apne Rab ke Zikr se mehrum hokar mukammil taur se usi me mashgul ho jata hai, in games ki wajah se dushmniya paida hoti hai, aur in games ki latt me juwa tak shuru ho jata hai,. aur uska khatma bhi na jane kin kin burayiyo ke sath hota hai ..
*Beharhaal! isiliye Shariyat ne kaha "shuruwat hi mat karo tou khatme tak jaane ka sawal hi nahi"
In'sha'Allah-UI-Azeez Allah Ta'ala hume kehne sun'ne se jyada amal ki taufik dey ,..
