Friday, November 22, 2024

Bete ke Saath Maa Baap ke Gunah Maaf




Bete ke Saath Maa Baap ke Gunah Maaf



Hazrat Ibn Abbas (R.A) se Marvi hai ki Rasool'Allah (ﷺ) Ne Irshaad Farmaya ; 

Jo Shakhs juma ki Namaz ke baad 100 baar
SubhanAllahil Azeem wa Bihamdihi

Tarjuma - Ajimushshan Allah ki paaki Aur uski hamd bayan karta ho!

Padhe to Allah T'alah uske Hazar gunah maaf farmayege Aur uske waldain ke 24 Hazar Gunah maaf hoge !

(Amlul yavami vallail safa 134)

Allah Duniya Mein Gunahon Ki Saza Kaise Deta Hai






1) Dil Ka Sakht Hona

Jab Allah Kisi se naraz ho kar use azab dete hain uske dil ko sakht kar dete hain, use koi neki ki baat asar nahi karti aur uske dil me Dusro'n ke liye raham bhi nahi rehta


2) Neki Ki Taufeek Na Milna


Azab Ke Taur pe usse nekiyo ki taufeek cheen li jati hai, Uski Namazein Kaza Hone Lagti Hai, Qur'an Choone Ka Bhi Mauka Nahi Milta Na Zikr Ka Mauka Milta Hai


3) Ibadat Ki Lazzat Na Milna

kabhi kabhi Allah azab is tarah se deta hai ki banda Namaz aur Qur'an to Padhta Hai Lekin Usme Usko Maza Nahi Milta, Dil Nahi Lagta Usko Sukoon Nahi Milta.



4) Kabeera Gunaho Ko Mamoli Samjhna

Bade Bade Gunah Wo Karta Rehta Hai Aur Usko Koi Farak Bhi Nahi Padhta Ki Wo Itne Bade Malik, Raheem o Kareem Allah Ki Nafarmani Kar Raha Hai.


Kabeera Gunaho Ko Mamoli Samjhna



Bade Bade Gunah Wo Karta Rehta Hai Aur Usko Koi Farak Bhi Nahi Padhta Ki Wo Itne Bade Malik, Raheem o Kareem Allah Ki Nafarmani Kar Raha Hai.

Monday, March 11, 2024