1) Dil Ka Sakht Hona
Jab Allah Kisi se naraz ho kar use azab dete hain uske dil ko sakht kar dete hain, use koi neki ki baat asar nahi karti aur uske dil me Dusro'n ke liye raham bhi nahi rehta
2) Neki Ki Taufeek Na Milna
Azab Ke Taur pe usse nekiyo ki taufeek cheen li jati hai, Uski Namazein Kaza Hone Lagti Hai, Qur'an Choone Ka Bhi Mauka Nahi Milta Na Zikr Ka Mauka Milta Hai
3) Ibadat Ki Lazzat Na Milna
kabhi kabhi Allah azab is tarah se deta hai ki banda Namaz aur Qur'an to Padhta Hai Lekin Usme Usko Maza Nahi Milta, Dil Nahi Lagta Usko Sukoon Nahi Milta.
4) Kabeera Gunaho Ko Mamoli Samjhna
Bade Bade Gunah Wo Karta Rehta Hai Aur Usko Koi Farak Bhi Nahi Padhta Ki Wo Itne Bade Malik, Raheem o Kareem Allah Ki Nafarmani Kar Raha Hai.