Thursday, April 11, 2024

Sadqa-e-Fitr Eid ki Namaz ke liye jaane se pehle pehle Nikalne ka Hukm diya



Ramadan

Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne Sadqa-e-Fitr Eid ki Namaz ke liye jaane se pehle pehle Nikalne ka Hukm diya 
[Hadees: Sahih al-Bukhari 1509] 

Hadees: Ibn Umar (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne Sadqa-e-Fitr Eid ki Namaz ke liye jaane se pehle pehle Nikalne ka Hukm diya

Tuesday, April 9, 2024

Ramzan ka Aakhri Ashre me Rasooll Allah (ﷺ) saari Raat Ibadat karre




Ramadan

Jab Ramzan ka Aakhri ashra aata to Allah ke Rasool saari Raat Ibadat me khud bhi jagte aur...
 [Hadees: Sahih Al Bukhari 2024] 

Hadees: Umme Aisha (R.A) se riwayat hai ke: "Jab Ramzan ka Aakhri ashra aata to Allah ke Rasooll (ﷺ) saari Raat Ibadat ke liye khud bhi jagte aur apne ghar walon ko bhi jagaya karte."

Sunday, April 7, 2024

Ibne Aadam ka har amal uske liye hai siway Roze ke



Ramadan

Ibne Aadam ka har amal uske liye hai siway Roze ke, Roza Mere liye hai aur mai hi uska Badla dunga. 
[Hadees: Sahih al-Bukhari 5927]

Hadees: Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:

"Allah Ta'ala farmata hai: "Ibne Aadam ka har amal uske liye hai siway roze ke, Roza Mere liye hai Aur mai hi uska Badla dunga."


Friday, April 5, 2024

Shab e Qadr ki Dua



Ramadan

Shab e Qadr ki Dua

[Hadees: Sunan Ibne Majah 731]

Hadees: Ummul Momin Ayesha (R.A) ne arz kiya ki "Aye Allah ke Rasool (ﷺ) Agar Mujhe Shab-e-Qadr Naseeb ho jaye tou kya Dua karu?. 

Aapne farmaya: "ye kehna 'Allahumma Innaka
'Afuwwuntuhibbul 'Afwa Fa'fu 'Anni.'

(Aye Allah tu muaf karne wala aur muaf karne ko pasand Karta hai so mere bhi gunaah muaf farma de.)"

Rozedar Banda Bandi





Rojedar Banda Bandi


Rojadar banda bandi k muh ka badboo,kastoori Khoosbu se bhi ziyada khoosbu lagti hai Mera  Allah ke pass.