Saturday, September 21, 2024

Rizq mein Barkat



" Nikaah krne se Allah Ki taraf se aapke rizq me izafa hojata hai"



Yani, jab aap nikaah karte hain, tou Allah ki taraf se aapke maali aur aashiyaan (rizq) mein izafa hota hai. Ye baat isliye hai kyun ke nikaah Allah ki khushi aur barkat ka zariya hota hai, aur is se insaan ki zindagi mein khushiyan aur rahmat aati hain.

Saturday, August 24, 2024

Help with household chores



The Prophet (peace be upon him) lived in a time when men considered themselves superior to women. Aisha explains that he used to milk the goats, mend his sandals, and patch his own clothes. When she was asked, “What did the Prophet use to do in his house?” Aisha replied, “He used to keep himself busy serving his family, and when it was the time for prayer he would go for it.” 
(Bukhari)

Thursday, July 25, 2024

Biwi k huqooq





Aurto ka Haq Mardo par waisa hi hai jaisa Dastoor ke Mutabiq (Mardo ka haq) Aurato par hai, Al batta mardo ko unn par fazeelat hasil hai.

(Quran 2:228)



Koi Momin Mard, Momina Aurat, Yaani Apni Biwi se Bhugz (nafrat) na rakkhe, kyunki agar Us sey uss ki koi Aadat Napasand hai tou koi dusri pasand bhi hogi. 
(Muslim 1467)



Isi Tarha Allah Ke Rasool (ﷺ) ki Aahadees me farmaya ki,
Aurato se behtar Sulook karo kyunki Aurat pasli se paida ki Gayi hai aur pasli ka sab se zyada tedha hissa woh hai jo uska buland hissa hai.. Agar tu Usey Seedha karne lage ga tou Usey Thodh dega aur agar Chodh dega tou Tedhi hi Rahegi, Lihaza Aurto se Accha Sulooq karo.

(Bukhari 3331)



Aur dastoor ke Mutabiq Tumhari Biwiyo ki khuraaq aur Phoshaaq tumhare Zimme hai. (Hadith: Abu Dawud 1905)


Jis ki Do Biwiya ho aur woh Unn me se Ek ki taraf hi Mayeel (Atract) ho tou woh Qayamat ke Din is Haal me Aayega ke uska Ek Pehlu Jhuka hoga" (Hadith: Abu Dawud 2133)

Albatta woh umoor jinn me adal mumkin na ho jaise Mohabbat aur Dil ki Khushi tou in par khawind par khuch gunah nhi.


Rasool Allah (ﷺ) se phucha gaya ke biwi ka mard par kya haq hai tou aap ne farmaya ke,
Jab tu khana khae tou Usey khana khila aur ja tu Pehne tou Usey bhi Pehnna aur uske Muuh par na Maar, Usey bura bhala Kahe na Uss se Qata Talluq kar magar yeh ke Ghar ke Andar Andar.
 (Abu Dawud 2142)

Yaani kisi baat par Naraaz ho tou Usey Ghar se Dusri jagah na bhagao



Rasool Allah (ﷺ)ne farmaya ke,
Aye Allah! yeh meri taqseem aise muamle me hai jis me mera ikhtyaar hai aur jiss baat me tera ikhtyaar hai, mera nahi uss par mujhey malamat na farmana. 
(Hadith: Abu Dawud 2134)


Agar tum chaaho bhi to apni Biwiyo ke Darmiyaan Adal na kar sakoge.

(Quran; Surah Nisa; 4:129)


Allah Rabbul Izzat Quran-e Kareem me farmata hai:
Aur Biwiyo ke saath Acchi tarah raho saho.

(Quran 4:19)




Wednesday, June 26, 2024

Haram Rishton Ki Wajah

Haram Rishton Ki Wajah


Zina Ka Aam Hona


Aaj Ke Daur Me Zina Ko Itna Aasan Bna Liya Gaya Hai Ki Hum Ise Gunah Nahi Samjhte Hai. Kisi Na Mehram Ladka/Ladki Se Baat Karna Dosti Rakhna Humare Liye Aam Baat Hai. Ise Hum Gunah Nahi Samjhte Jabki Ye Sab Zina Ki Shuruwat Hai.

Agr Ek Ladki Barik Kapde Ya Saj Sawar Kar Bahar Nikalti Hai Bhale Hi Uski Niyat Kisi Ko Dikhane Ya Attrect Karne Ki Nahi Hai Lekin Use Dekh Kar Koi Ladka Attrect Hota Hai Ya Kuch Bure Khayal Uske Dimag Me Aate Hai Aur Use Wo Pura Kisi Aur Zariye Se Karta Hai.


To Is Gunah Ka Zariya Wo Ladki Bani Jo Behaya Ho Kar Baher Nikli Thi Matlab Wo Zina Ka Zariya Ban Gayi Aur Gunah Ki Haqdar Bhi Isliye.

Allah Ta'ala Ne Qur'an Me Mardo Ko Nichi Nazre Rakhne Aur Aurto Ko Dhank Kar Chalne Ka Hukum Diya Hai.
Zina Ki Shuruwat Nazro Se Hoti Hai.

Allah Ta'ala Qur'an Me Farmate Hai

Zina Ke Kareeb Bhi Na Jao Beshaq Ye Badi Behayai Hai Aur Bahut Hi Buri Rah Hai.




Nikah Ka Mushkil Hona

Jitna Zina Ko Aasan Kar Diya Gaya Hai Itna Hi Nikah Ko Mushkil Bana Diya Gaya Hai.

Example - Jab Kisi Shakhs Ko Bahut Bhook Lagi Ho Aur Haram Khane Ko Uske Bahut Pas Rakha Ho Aur Halal Khane Me Uske Liye Bahut Mushkil Paida Kar Di Jaye Aur Alag Alag Taur Tarike Laga Diya Jaye To Kaun Halal Ko Khane Jayega Jab Use Haram Khana Itni Aasani Se Mil Raha Ho Aur Jab Use Ye Khana Mil Jata Hai To Wo Isse Hi Bhook Mitane Lagta Hai Aur Halal Ka Sochta Bhi Nahi.


Isi Tarah Har Insan Me Khuwahishat (Sexual Desires) Ki Bhook Hoti Hai Aur Jab Ye Puri Nahi Hoti Hai Jo Jo Rasta Aasan Lagta Hai Aur Kareeb Hota Hai Use Hi Apna Lete Hai Aur Gunah Ke Shikar Ho Jate Hai.

Humne Apne Samaj Me Nikah Ko Beintehaa Mushkil Bana Diya Hai. Hazaro Rasme Aur Riwaz Aur Upar Se Itne Mehenge Tariko Se ljaat Kar Liya Hai Ki Agar Koi Chahe Bhi Nikah Karna To Wo In Wajah Se Nikah Ka Khayal Nikal Deta Hai Aur Jab Aadhi Se Zayada Jawani Guzar Jati Hai Jab Nikah Kiya Jata Hai To Ye Khuli Gumrahi Ka Sabab Nahi To Kya Hai?


Free Mixing Ka Hona

Aaj School College Me Education Ke Naam Par Ladke Ladkiyo'n Ko Saath Me Rakhte Hai Jo Khuli Behayai Hai. Shaadiyon Aur Dusre Functions Me Parde Ka Lihaz Nahi Rakha Jata Aur Sab Mixture Kar Diya Jata Hai Jisse Behayai Aur Zina Jaisi Cheez Aam Ho Jati Hai Kyuki Har Akele Mard Aurat Ke Bich Teesra Shaitan Hota Hai.



Ghar Walo Ka Zarurat Se Zayada Chhoot Dena

Parents Ka Apne Baccho Ko Hadd Se Zayada Chhoot De Dena Bhi Zina Ka Sabab Hai Matlab Parents Ka Apne Baccho Ki Koi Rok Tok Na Karna Wo Kitni Hi Der Mobile Use Kare Unke Female/Male Friends Se baat Kare Ya Ghar Se Zayada Der Baher Rahe Is Par Walidain Ka Control Na Hona Bhi Behayai Ka Zariye Hai.


Islam Se Doori


Hum Islam Se Itna Door Ho Chuke Hai Ki Aaj Zina Jaise Gunaho Me Mubtila Hai Kyuki Duniyawi Education Hum Ko Gunah Se Bachana Nahi Sikhati Balki Ulta Hum Ko Gunaho Me Aasani Kar Deti Hai. Lekin Islam Hume Gunah Kya Hai Aur Uska Anjam Kya Hai Usse Bachne Ka Tarika, Sab Kuch Sikhati Hai.

Lekin Aaj Ke Waqt Me Ek Highly Educated Insan Ko Bhi Agar Pucha Jaye Ki Qur'an Ke Kisi Ek Ayat Ka Meaning Batao To Wo Nahi Bata Payega Aur Bahut Se Logo Ko Jo Qur'an Padhna Jak Nahi Aata Islam To Door Ki Baat Hai.

Ye Duniyawi Ilm Sirf Duniya Me Hi Faida Pahucha Sakta Hai Lekin Deeni Ilm Hume Duniya Aur Akhirat Dono Me Kamyabi Ata Kar Sakta Hai. Isliye Islam Ko Jane. Apne Rab Ko Pehchane Jabhi To Hum Zina Jaise Gunaho Se Bach Payenge.


Dua

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Tamaam Ummat Ko Zina Jaise Gunah Se Mehfooz Rakhe Aur Jo Is Gunah Me Mubtila Hai Unhe Nek Hidayat Ata Kare.

Ameen Summa Ameen