Thursday, March 27, 2025
Ek Din Bhi Allah Taala Ki Raah Me Rakha Roza, Jahannam Ki Aag Ko Uske Chehre Se 70 Saal Tak Door Rakhega
Ramadan
Jo Shakhs Ek din bhi Allah Taala ki raah me Roza rakhe.
[Hadees: Sahih Muslim 1153]
Hadees: Abu Saeed Khudri (R.A) se riwayat hai ke, Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
Jo Shakhs ek din bhi Allah Taala ki Raah me Roza rakhega, Allah Taala Jahannam ki Aag ko Uske chehre se Sattar Saal (70 Saal) ki Musafat tak door rakhega
Roza Gunaho Aur Jahannum Ki Aag Se Bachane Wali Dhaal Hai
Roza Gunaho aur Jahannum ki aag se bachane wali ek Dhaal hai.
[Hadees: Sahih Bukhari 1904]
Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke. farmaya: Rasool Allah (ﷺ) ne
Roza Gunaho aur Jahannum ki aag se bachane wali ek Dhaal hai.
