Agar Koi Shakhs Roza rakh kar bhi Jhoot bolna aur Dagabaji karna na chore tou.
[Hadees: Sahih al-Bukhari 1903]
Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Agar Koi Shakhs Roza rakh kar bhi Jhoot bolna aur Dagabaji karna na chore tou Allah Ta'ala ko Uski koi Zaroorat nahi ki wo Apna Khana Peena chor de."
Meri Ummat ke log humesha khair ke sath rahenge jab tak Iftar me jaldi karenge.
[Hadees: Sahih al-Bukhari 1957]
Hadees: Sahl bin Sa'd (R.A) se riwayat hai ke, Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Meri Ummat ke log humesha khair ke sath rahenge jab tak Iftaar me jaldi karenge.
Jo Shakhs Ek din bhi Allah Taala ki raah me Roza rakhe.
[Hadees: Sahih Muslim 1153]
Hadees: Abu Saeed Khudri (R.A) se riwayat hai ke, Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
Jo Shakhs ek din bhi Allah Taala ki Raah me Roza rakhega, Allah Taala Jahannam ki Aag ko Uske chehre se Sattar Saal (70 Saal) ki Musafat tak door rakhega
Jab Ramzan ka Aakhri ashra aata to Allah ke Rasool saari Raat Ibadat me khud bhi jagte aur...
[Hadees: Sahih Al Bukhari 2024]
Hadees: Umme Aisha (R.A) se riwayat hai ke: "Jab Ramzan ka Aakhri ashra aata to Allah ke Rasooll (ﷺ) saari Raat Ibadat ke liye khud bhi jagte aur apne ghar walon ko bhi jagaya karte."