Friday, August 23, 2024

Jo Shakhs Sood ke zariye apna Maal badhata hai




Allah Ke Rasool ﷺ farmate hain

“Jo Shakhs Sood ke zariye apna Maal badhata hai,
uska anjaam yeh hota hai ki uska Maal kam ho jaata hai.

Sunan Ibn Maaja: 2279-Sahih

SAHAABA ko Bura Mat Kaho



Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya

MERE SAHAABA
(RIZWANULLAHI ALAIHIM AJAMA'EEN)
Mein se kisi ek ko bhi Bura Mat Kaho.

Sahih Muslim: 6488 (2541)

Durood




Rasool Allah (ﷺ) Ne Farmaya

"Jo Shaqs Mujhpar Ek Dafa Durood Padhega, Allah Ta'ala Us Par 10 Rahmatein Nazil Farmayega Aur Uski 10 Ghalatiyan Mu'aaf kardi Jayegi Aur Uske 10 Darje Buland Kiye Jayenge."

SUNAN AN-NASA'I HADITH | 1297

Jo Allah Aur Aakhira Ke Din Par imaan Rakhte Hai



Allah Ke Rasool (ﷺ) Ne Farmaya:

Jo Allah Aur Aakhira Ke Din Par imaan Rakhte Hai, Usey Chahiye Ke Wo Apne
Mehmaan Ki Izzat Kare ..

Sahih Bukhari: 6018

Jo musibat kisi musalman ko pahunchti hai ALLAH taala use uske



Rasoollallah (ﷺ) ne farmaya 

Jo musibat kisi musalman ko pahunchti hai ALLAH taala use uske gunaahon ka kaffara kar deta hai , Ek kaanta bhi agar jism ke kisi hisse mein chubh jaye to wo bhi us shaksh ke gunaahon ka kaffara ban jata hai

Sahih Bukhari, Vol 6, 5640

—————————