Wednesday, April 17, 2024

Har Nasha Waali Cheez Haraam hai aur Jo Aadmi...

Hadees : Har Nasha Waali Cheez Haraam hai aur Jo Aadmi Nasha Waali cheez peeyega ussey Allah Ta'ala Dozakhiyon ka Pasina peelayega.



۞ Hadees : Jabir (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Jaishaan se ek Aadmi Aaya aur 

Jaishaan Ek Shahar (Town) hai Yeman me, Uss Aadmi ne Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) se Uss Sharaab ke Baarey me Puchha ke Jo Unn Elaqon me Pee jati hai aur wo Sharaab jo Taiyaar hoti hai Uss Sharaab ko Mizr kaha jata tha. 

Tou Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya "Wo Sharaab Nasha (Intoxicating) waali hai ?" 
Uss ne Arz Kiya, "Ji Haan!" 

Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya : 
"Har Nasha Wali Cheez Haraam hai, Kyon ke Allah Ta'ala ka uss Aadmi ke liye Waada hai ke Jo Aadmi Nasha Waali cheez peeyega ussey Allah Ta'ala tinatah-al-khabaal peelayega." 

Sahaba ne arz kiya: "Aye Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Tinatah-al- Khabaal kya cheez hai ?

Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Dozakhiyon ka Pasina hai." 

📕 Sahih Muslim, Hadees no. 5217 • 


Note :  Har Nasha Waali Cheez Haraam hai aur Jo Aadmi Nasha Waali cheez peeyega ussey Allah Ta'ala Dozakhiyon ka Pasina peelayega: Jo Cheez Ya Aamal Insan ko Madhosh kar de aur wo Apne Rab ke Zikr-Wa-Rehmato se thodi der ke liye bhi Gafeel ho jaye aisi har Cheeze Haraam hai, fir chahe woh Sharaab ho Tambakhu, Guthka ho ya Gaana-Bajana.
Previous Post
Next Post

0 Comments: