Sunday, April 14, 2024

Apne Darmiyan Salaam Ko Phailao

Apne Darmiyan Salaam Ko Phailao



Mafhoom-e-Hadees : Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se. Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Farmaya- 
*Qasam Hai Uss Zaat Ki Jiske Qabze Me Meri Jaan Hai !
*Tum Jannat Me Tab Tak Dakhil Nahi Ho Sakte Jab Tak Ki Emaanwale Na Ho Jaye, 
*Aur Tum Tab Tak Emaanwale Nahi Ho Saktey Jab Tak Aapas Me Mohabbat Na Karne Lag Jao,

*Tou Kya Mai Tumhe Aisee Baat Na Bataa Du Ki, 
Jab Tum Usko Karoge Tou Aapas Me Mehboob Ho Jaoge ,..
 "Apne Darmiyan Salaam Ko Phailao"(Yaani Zyada Se Zyada Salaam Kiya Karo). 
ЁЯУХ (Sunan Ibn Majah, Vol#1, Hadith no. 68)


!! Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Barakatuhu !!


Previous Post
Next Post

0 Comments: