Thursday, October 3, 2024

Nek Dost aur Burey Dost kimisaal


Mafhum-e-Hadith 

Abu Musa (R.A.) se riwayat hai ki Rasool Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Nek Saathi (Dost) aur Burey Saathi (Dost) ki Misaal mushk bechney waley Attar aur Lohar jaisee hai, Mushk Bechney waley ke paas se tum do achchaeeyon me se ek na ek zaroor pa loge. ya fou Mushk hi kharid loge ya kum se kum Mushk ki khushbu fou zarur pa logey. Lekin Lohar ki bhatti tumharey badan ya kapdey ko jhulsa degi ya uski tum badbu pa logey."

Sahih Bukhari, Vol 3, 2101





✦ Sabaq :


Lihaza aise logo se dosti rakha karo jo tumhare emaan ki doulat me ijafa karwa de aur aise logon se kinara karlo jiska sath tumhe neki aur parhezgaari se gafil kar de.
Previous Post
Next Post

0 Comments: