Wednesday, March 6, 2024

Kya Raat mein rupaye Lene dene se gareebi aati hai?




Kuchh log kahate hain ki Raat mein rupaye ka Len den nahin karna chahiye is se ghar mein Barkat nahin Hoti hai yah logon ki galatfahmi hai Aisa khyal badshagooni aur gair isalami tawahhumaat mein se hai aisi chizon se 


Hadees paak mein mana Kiya gaya hai Nabi Akram Sallallahu Alaihi wasllam ne farmaya jisne badshagooni li wo hum mein se nahin yaani hamare tariqe per nahin lihaza qarz ka len den Karna Kisi waqt manhoos nahin aur raat mein karz dene ya rupya Paisa wagairah ke len den ko manhoos samajhna jahilon ka khyal hai jis ka shariyat mein Koi aitbaar nahin.


Fatawa Bahrul Uloom me hai: "dinon mein Koi din aur auqaat mein Koi waqt aur ghadi manhus aur na mubarak nahin hai Sab din Allah ta'ala ke hain to Kisi din ki nahusat ka aitqaad karna Gair Islami hai" 
(Fatawa Bahrul Uloom Jild: 4, page: 141, Imaam Ahmad Raza Academy)
Previous Post
Next Post

0 Comments: