Sunday, June 16, 2024

NAMAZ padhne ke baad bhi Sukoon kyun nahi ?



NAMAZ padhne ke baad bhi Sukoon kyun nahi ?


Agar Aap 5 Waqt Ki Namaz Padhte Hai Uske Baad Bhi

1. Apki Zindagi Me Sukoon Nahi.

2. Apke Masle Hal Nahi Ho Rahe.

3.Charo Taraf Se Pareshaniya Hai.

4. Duaein Qubool Nahi Ho Rahi Hai.

5. Ghum Aur Takleef Me Mubtila Hai.

6. Namaz Ko Bojh Samajh Kar Padhte Hai.

7. Namaz Jaldi Jaldi Padhte Hai.

8. Namaz Ke Sath Gunaho Me Bhi Mubtila Hai.

9. Ankhe Gair Mehram Ko Dekhne Se Mehfooz Nahi.

10. Dil Me Ghamand, Bughz, Nafrat Aur Keena Hai.

11. Zubaan Geebat, Jhoot, Wagaira Gunaho Se Mehfooz Nahi. Namaz To Zindagi Me Sukoon Lati Hai, Namaz To Duaein Qubool Karwati Hai. Agar Hamare Sath Aisa Nahi Ho Raha Iska Matlab Hamari Namaz Me Bahut Kami Hai Hame Apni Namazo Ko Acha Banana Hai.



Iska Matlab Hai Ki

1. Humari Namaz Bejaan Hai.

2. Humari Namaz Me Wo Dhiyan Nahi Jo Hona Chahiye.

3. Humari Namaz Me Khushu Khuzu Nahi.

4. Namaz Sahi Se Nahi Padhte.

5. Namaz Me Dil Nahi Lagta.



Allah Subhanahu Wa Ta'ala Tamaam Ummat Ki Pareshaniyo'n Ko Door Ata Farmaye Aur Hum Sabhi Ko Namaz Padhne Ki Toufeek Ata Farmaye.

Ameen Summa Ameen
Previous Post
Next Post

0 Comments: