Islam Ki Raushni Me Billi Palne Ka Hukum
Islam na sirf insan balke janwaro ke sath bhi hamdardi aur husne suluk ki taleem deta hai
Billi ko Islam me paak aur saaf kaha gaya hai, aur gharo me isko aane ki ijazat hai, billi ko khana bhi diya ja sakta hai
Billi ke piye hue jhute pani ko bhi paak saaf kaha gaya hai
Insan ki tarah bhi billi ko bhi sardi hoti hai, isly aksar aap ne suna hoga billi sardiyo me bhot chilati hai darasal wo roti hai
Sardi ke mausam me agr billi ghar me hai toh iska khayal rakhe.
Huzur Paak (ﷺ) Ne Billi ke sath rahem karne ka hukum diya hai
Huzur Paak (ﷺ) Ne Billi ko marne wale ko saza dene ka hukum diya hai
Ek hadees me aaya hai k ek aurat ko billi ki wajah se azaab diya gaya. Uss Aurat ne billi ko bandh kar rakha jiski wajah se wo bhuk se margai
Iss Galti ki wajah se wo aurat jhannum me dakhil hogai
Janwar ko takleef dene ka bh azaab hai
lehaza agar aap janwar palte ho toh iska puri tarah se khayal rakhe Uske khane ka aur aaram gaah ka munsib intezaam kare
Aur agar ghar me billi aajaye aur wo apko pasand na ho toh usse maare nahi, daara kar bhaga de maar kar une takleef na de
humsha Janwar se humdardi se pesh aaye yeh bhi Allah ki makhluq hai aur Allah ki yeh bhi Ibadat karti hai
0 Comments: