Zina Ka Aam Hona
Aaj Ke Daur Me Zina Ko Itna Aasan Bna Liya Gaya Hai Ki Hum Ise Gunah Nahi Samjhte Hai. Kisi Na Mehram Ladka/Ladki Se Baat Karna Dosti Rakhna Humare Liye Aam Baat Hai. Ise Hum Gunah Nahi Samjhte Jabki Ye Sab Zina Ki Shuruwat Hai.
Agr Ek Ladki Barik Kapde Ya Saj Sawar Kar Bahar Nikalti Hai Bhale Hi Uski Niyat Kisi Ko Dikhane Ya Attrect Karne Ki Nahi Hai Lekin Use Dekh Kar Koi Ladka Attrect Hota Hai Ya Kuch Bure Khayal Uske Dimag Me Aate Hai Aur Use Wo Pura Kisi Aur Zariye Se Karta Hai.
Allah Ta'ala Ne Qur'an Me Mardo Ko Nichi Nazre Rakhne Aur Aurto Ko Dhank Kar Chalne Ka Hukum Diya Hai.
Zina Ki Shuruwat Nazro Se Hoti Hai.
Allah Ta'ala Qur'an Me Farmate Hai
Zina Ke Kareeb Bhi Na Jao Beshaq Ye Badi Behayai Hai Aur Bahut Hi Buri Rah Hai.
Nikah Ka Mushkil Hona
Jitna Zina Ko Aasan Kar Diya Gaya Hai Itna Hi Nikah Ko Mushkil Bana Diya Gaya Hai.
Example - Jab Kisi Shakhs Ko Bahut Bhook Lagi Ho Aur Haram Khane Ko Uske Bahut Pas Rakha Ho Aur Halal Khane Me Uske Liye Bahut Mushkil Paida Kar Di Jaye Aur Alag Alag Taur Tarike Laga Diya Jaye To Kaun Halal Ko Khane Jayega Jab Use Haram Khana Itni Aasani Se Mil Raha Ho Aur Jab Use Ye Khana Mil Jata Hai To Wo Isse Hi Bhook Mitane Lagta Hai Aur Halal Ka Sochta Bhi Nahi.
Humne Apne Samaj Me Nikah Ko Beintehaa Mushkil Bana Diya Hai. Hazaro Rasme Aur Riwaz Aur Upar Se Itne Mehenge Tariko Se ljaat Kar Liya Hai Ki Agar Koi Chahe Bhi Nikah Karna To Wo In Wajah Se Nikah Ka Khayal Nikal Deta Hai Aur Jab Aadhi Se Zayada Jawani Guzar Jati Hai Jab Nikah Kiya Jata Hai To Ye Khuli Gumrahi Ka Sabab Nahi To Kya Hai?
Aaj School College Me Education Ke Naam Par Ladke Ladkiyo'n Ko Saath Me Rakhte Hai Jo Khuli Behayai Hai. Shaadiyon Aur Dusre Functions Me Parde Ka Lihaz Nahi Rakha Jata Aur Sab Mixture Kar Diya Jata Hai Jisse Behayai Aur Zina Jaisi Cheez Aam Ho Jati Hai Kyuki Har Akele Mard Aurat Ke Bich Teesra Shaitan Hota Hai.
Parents Ka Apne Baccho Ko Hadd Se Zayada Chhoot De Dena Bhi Zina Ka Sabab Hai Matlab Parents Ka Apne Baccho Ki Koi Rok Tok Na Karna Wo Kitni Hi Der Mobile Use Kare Unke Female/Male Friends Se baat Kare Ya Ghar Se Zayada Der Baher Rahe Is Par Walidain Ka Control Na Hona Bhi Behayai Ka Zariye Hai.
Hum Islam Se Itna Door Ho Chuke Hai Ki Aaj Zina Jaise Gunaho Me Mubtila Hai Kyuki Duniyawi Education Hum Ko Gunah Se Bachana Nahi Sikhati Balki Ulta Hum Ko Gunaho Me Aasani Kar Deti Hai. Lekin Islam Hume Gunah Kya Hai Aur Uska Anjam Kya Hai Usse Bachne Ka Tarika, Sab Kuch Sikhati Hai.
Ye Duniyawi Ilm Sirf Duniya Me Hi Faida Pahucha Sakta Hai Lekin Deeni Ilm Hume Duniya Aur Akhirat Dono Me Kamyabi Ata Kar Sakta Hai. Isliye Islam Ko Jane. Apne Rab Ko Pehchane Jabhi To Hum Zina Jaise Gunaho Se Bach Payenge.
Allah Subhanahu Wa Ta'ala Tamaam Ummat Ko Zina Jaise Gunah Se Mehfooz Rakhe Aur Jo Is Gunah Me Mubtila Hai Unhe Nek Hidayat Ata Kare.
Ameen Summa Ameen
0 Comments: