Astaghfar ki Dua 2
Laa ‘ilaaha illallaaku wahdahu laa shareeka lahu,
lahul-mulki wa lahul- hamdu,
waHuwa alaa kulli Shayin Qadeer.
Allah ke elaawah koi sachcha mabood nahin, woh akela hai, uska koi shareek nahin, usi ke liye badshahat hai aur usi ke iiye tamaam tareefaat hain aur woh har cheez par qaadir hai.
📕 Sunan Abu Dawood: 5077-Sahih
📕 Sunan Ibne Majah 3868
📕 Musnad Ahmed: 4/60-Sahih
۞ Hadees: “Ek martaba padhna bhi durust hai aur jis shakhs ne din mein 100 martaba yeh kalimaat kahe tou usey 10 Ghulaam Aazaad karne ka sawaab milega.
uske liye 100 nekiyan likhi jayengi aur 100 Ghalati mitaa di Jaayengi, shaam tak shaitaan se mahfooz rahega, aur qayamat ke din us sey afzat amal lekar koi nahi aaeyga lekin woh shakhs jisne yahi kalimaat ziyada martaba kahe.”
📕 Sahih Bukhari: 3293, Sahih Muslim:2691
0 Comments: