Thursday, August 29, 2024

Astaghfar kise kehte hai ?



Astaghfar kise kehte hai ?

Insan ki fitrat hai ke us se khata, galati ya gunah ho jate hai, aur jab wo apne kiye par sharminda ho kar sacche dil se apne Rab se muafi talab karta hai tou usey ‘Astaghfar‘ kehte hai.



Astaghfar ki Ahmiyat

۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:

“Main Allah ki bargah me Astaghfar (Muafi Manga) karta hoon aur uski taraf ruju karta hoon din me 70 baar se bhi jyada.”

📕 Bukhari, Vol:8, Book:75, Hadith 319


Hum sab jante hai ke Ambiya (Alaihi Salato Salam) Gunaho se paak hote hai, aur Allah ke Nabi (Salallahu Alaihi Wasallam) tou bakhshe bakhshaye hai, lekin fir Aap (ﷺ) apni Ummat ko tarbiyat dene ke liye khud Astagfar ki qasrat kiya karte they. lihaja hum par tou lazim hai ke hume jyada se jyada Astaghfar karna hai.



Astaghfar ki Fazilat

Anas (R.A) se riwayat hai ki,

Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:

“Jo Astghfar karne ko apne upar lazim karega tou Allah Subhanahu usko har tangi se nikalne ka ek raasta ata farmayega aur har gham se nijat dega aur aisi jagah se rozi ata farmayega jahan se usko guman bhi nahi hoga.”

📕 Sunan Abu Dawood, 1505

Previous Post
Next Post

0 Comments: