In Dino Mein Kiye Jaane Wale Amal
1. Roza Rakhna
2. Hajj Aur Umrah Karna
3. Qurbani Karna
4. Takbeerat Padhna
5. Zikr Karna
6. Apne Gunahon Ki Maafi Mangna
Roza Rakhna
Allah Ta'ala Ke Liye Roza Sabse Pasandida Amal Hai Aur Khass Kar Ke 10 Mein Se 9 Din Ke Roze Ki Fazilat Bahot Zada Hai..!!
Rasool Allah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya
"Jisne Arafa Ke Din Roza Rakha Toh Uske Ek Saal Ke Agle Aur Ek Saal Ke Pichle Gunah Baksh Diye Jayenge "..!!
(Sunne Ibne Majah 173, Sahih)
Hajj Aur Umrah
Sabse Behtareen Amal Hai Zil Hajj Mein Hajj Aur Umrah Karna Hai Saaf Niyat Se Ki Gai Hajj Ka Sawab Jannat Hai..!!
Rasool Allah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya
"Umrah Gunahon Ka Kaffara Hai Iske Aur Pichle Saal Ke Darmiya Aur Ek Qubooliyat Hajj Ka Sawab Jannat Se Kam Nahi "..!!
(Sahih Al Bukhari : 1773)
Qurbani Karna
Sabse Pasandida Amal Ke Aur Kareeb Karde Woh Hai Qurbani. Apne Sabse Behtareen Janwar Ko Allah Ke Qurban Karna..!!
Anas Bin Malik (R.A) Farmate Hai,
Rasool Allah (ﷺ) Do Sing Wale Kala Aur Safed Ram (Dunda) Qurbani Ki, Woh Allah Ka Naam Lete Aur Unki Badhai Bayan Karte, Mene Unhe Apne Dono Haathon Se Qurbani Karte Dekha Aur Unke Pair Ko Unke (Dunde) Patho Per Rakhta Dekha ..!!
(Sunan Ibn Majah : 3120)
Takbeerat Padhna
Allah Hu Akbar, Allah Hu Akbar,
Allah Hu Akbar laa ilaha illallah
Allah Hu Akbar, Allah Hu Akbar,
Walillahil-Hamd
9 Tareek Ki Fazr Se Lekr 13 Tareek Ki Asar Tak Har Farz Namaz Ke Baad Mard Unchi Awaaz Mein Aur Aurat Ahista Awaaz Se Padhe Yeh Sunnat Hai..!!
Tauba Karna
Inn 10 Dino Mein Sabse Aheem Kaam
Allah Se Sacche Dil Se Tauba Karna Hai. Tauba Ka Matlab Hai Ki Allah Ke Taraf Lautna, Apne Saare Secret, Akele Mein Huye Gunha, Jo Chizein Allah Ko Na-Pasand Karte The, Unn Sabke Liye Maafi Mangna, Jo Gunha Kar Chuke Hai Unhe Dobara Na Lautna Aur Unke Badle Nekk Aur Behtar Amal Karna.. !!
Nekk Amal
Allah Ko Sabse Zada Nekk Amal Pasand Hai, Nekk Amal Ke Badle Allah Bhot Neki Deta Hai. Jo Log Hajj Pe Jaane Ke Kabil Nahi Woh Iss Waqt Per Allah Ke Ibadat Kare, Dua Kare, Quran Ki Tilawat Kare, Sadqa Kare, Apni Walidein Ki Khidmat Kare, Rishtedaron Ko Barkarar Rakhe, Acchai Ke Kaam Kare, Burai Aur Haram Chizon Se Dhur Rahe Aur Bhi Nekk Amal Aur Ibadat Kare..!!
0 Comments: