Hadith: Jaabir (R.A) riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya :
‘Aadmi aur Shirk o Kufr ke darmiyan fark karne wali cheez Namaz hai.’
(Muslim: al Eman 82)
Is ka mtalab ye hai ke Islam aur Kufr ke darmiyan Namaz deewaar ki tarha hai. Doosre lafzo’n me namaz ka tark (chorna) Musalman ko Kufr tak paho’nchane wala amal hai.
0 Comments: