Thursday, October 17, 2024

Aadmi apne Dost ke deen pe chalta hai



Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

"Aadmi apne Dost ke deen par hota hai.

Lihaja tum me se har shakhs ko ye dekhna chahiye ke wo kis se dosti kar raha hai."

Abu Dawood; Hadees: 4833-Hasan

Acha Dost



Ek dost hi hota hai jiske acche hone se Zindagi jannat jaisi ho jaati hain

Khyanat


Jab koi Dost Tumhe apne Raaz batayen, 
Aisa samjho ke woh tumhe apni izzat de raha hai
 Kabhi us me khayanat maat karna...

Achhai Ki Taraf Nasihat



Achhai Ki Taraf Nasihat


Apne Dost Ko Achhai Ki Taraf Nasihat 
Karte Raho Chahe Usse Acha Lage Ya Bura.

Dost




Apni Zindagi Main Aisa Dost Talash Karen 
Jo Ap Ka Haath Pakar Kar Allah K Rasty Par Le Jaye

Acha Dost



Acha Dost


Ek dost hi hota hai jiske acche hone se 
Zindagi jannat jaisi ho jaati hain


Dost



Dost


Jo insan apne Dost ko Namaz ka paband 
nahi bana Sakta to Uski Dosti bekar hai 

Achcha Dost




Achche Waqt Se Zyada Achche Dost Aziz Rakho Kyuinki Achche Dost Bure Waqt Ko Bhi Achcha Bana Dete Hai

Hazrat Ali (RA) 

 

Dosti Karna Itna Asaan Hai Jaise Mitti Se Mitti Likhna Aur Dosti Nibhana Itna Mushkil Hai Jaise Pani Se Pani Likhna

Hazrat Ali (R.A)

Dost






Dost K Saath Us Namak Ki Tarah Raho Jo Khane Mein Dikhaai Nahi Deta

Lekin Agar Naa Ho Toh Uski Kami Bhahut Mehsoos Hoti Hai

Wednesday, October 16, 2024

Beti





Neshaq........Islam ke andar betiyon ko "rehmat" kaha gaya hai, yani Allah ki rehmat aur barkat. Hazrat Muhammad (S.A.W) ne apni beti Hazrat Fatimah (R.A.) se jo mohabbat ki, wo sab Musalmanon ke liye ek misaal hai. Aap (S.A.W) jab bhi unhe dekhte, to khud kharay ho jate, aur unki izzat mein unhe apni jagah dete. Yeh sab kuch betiyon ki azmat aur unki ahmiyat ko samjhata hai.



Is quote mein jo yeh baat kahi gayi hai ke "agar beti ki zaat muqaddas na hoti", iska matlab hai ke agar beti ka maqam paak aur izzat wala na hota, to Nabi-e-Karim (S.A.W) ka silsila-e-nasab ya aulaad unki beti se shuru na hoti. Hazrat Fatimah (R.A.) se unki aulaad chali, jo aaj tak Ahl-e-Bayt ke naam se jane jate hain.


Iska zikar yeh sabit karta hai ke Islam mein betiyon ko sirf mohabbat hi nahi, balki unka ek buhat buland maqam bhi diya gaya hai. Wo sirf ghar ki zewar nahi hoti, balke ek barakat ka zariya bhi hoti hain.

Islam is in the Heart Hijab comes naturally



They say Islam is in the Heart Not in the Hijab. 
They don't understand that when Islam is in the Heart Hijab comes naturally.