Wednesday, November 13, 2024

Sote Waqt ki Sunnatein



1. Isha Ke Baad Jaldi Sone Ki Fikr Karna, Duniya Ki Baat Na Karna.
(Bukhari: 599)

2. Ba Wuzu sona 
(Bukhari: 6311)

3. Teen Martaba Bistar Jhaad Kar Sona.
(Bukhari: 7393)

4. Teen Teen Salaai Surma Lagaana. 
(Tirmizi: 2048)

5. Teen martaba istigfaar "Astagfirullaahal 'azeemallazee laa ilaaha Illaa Huwal Haiyyul Qaiyyoomu Wa Atoobu ilaih" Padhna. 
(Tirmizi: 3397)

6. Tasbeeh-e-Faatimi Subhanallah 33 martaba, Alhamdulillah 33 martaba, Allahu akbar 34 martaba padhna.
(Bukhari: 5361)

7.) Sura-e-Ikhlaas, Sura-e-Falaq aur Sura-e-Naas padhna. 
(Bukhari: 5017)

8. Daahni karwat Qibla Rukh Let Kar Haath Rukhsaar (gaal) ke Neeche rakhna. 
(Bukhari: 4774, Musnad-e-Abi Ya'ala: 4774).

9.Pet ke bal aundha na letna. 
(Bukhari: 2768)

10. Sone ki dua "Allahumma bismika amootu wa ahyaa" padhna.
(Bukhari: 6314)




SUBAH KO BEDAR HOTE WAQT KI DUA

Alhamdu Lillahil-lazi 'Ahyana Ba'ada Ma Amatana Wa'ilaihi-nushoor..

Tarjumah:

"Allah Ke Liye Hi Tamam Taarifien Hain Jisney Humein Zinda Kiya, Iskey Baad Ke Isney Maut Taari Kar Di (De Di) Thi Aur Usi Ki Taraf Lautna Hai.
Ameen

So Kar Uthne Ki Dua



Al-hamdu lil-lahillazi ahyana ba'da ma an atana,
 wa ilaihi an-nushur.

Tamaam tareef Allah ke liye jisne hame maut ke baad zindagi ata ki aur hame usi ki taraf lautna hai.

Sahih al Bukhari, 6325.

Friday, June 14, 2024

Kya Kahana khane ke baad meetha khana sunnat hai?

Yah Baat awaam mein bahut mashhur hai ki khana khane ke bad meetha khana sunnat hai halanki Sahi masa'la yah hai ki khana khane ke baad meetha khana sunnat nahin balki namkin cheez se shuru karke namkeen cheez per khatm karna sunnat hai jaisa ki fatawa Alamgiri mein hai:

  "Sunnat yah hai ki namak se shuru Kare aur Namak per khatm Kare" 
(Fatawa Alamgiri, Jild 5, page: 416)

Aur Hadees Sharif mein jo yah mazkoor hai ki Jab khana Khao to Namak se shuru karo Namak per khatm karo yah Sattar bimariyon ka ilaaj hai iska matlab Namak chatna jaruri nahin Kuchh Hazrat is sunnat ki y adayegi ke liye khane se pahle aur baad mein namak chatna jaruri khyal karte hain halanki sunnat ki adayegi ke liye yah kafi hai ki namkin khana pahle aur bad mein kha liya jaaye tab bhi sunnat ada ho jayegi isliye ki namkin khane mein bhi Namak zarur hota hai aur Arabi mein jise milh kahate hain usi ko Urdu mein namak ya namkeen kaha jata hai, hasil kiye ki Jab dastarkhan per namkin aur meetha Har tarah ka khana maujud ho to sunnat yah hai ki pahle namkin khaye fir meetha aur Aakhir mein fir namkin alag se namak manga kar chaatne ki zaroorat nahin.