Tuesday, May 14, 2024

Kounse Padosi ka haq sabse jyada hai



 ✦ Kounse Padosi ka haq sabse jyada hai ✦

✦ Ummaha-tul-Momineen Aayesha (R.A.) se riwayat hai ki maine pucha “Ya Rasool’Allah (ﷺ) ! Mere do Padosi hai, Unmein se kiskey paas mai Hadiya (Tohfa) bheju ?” Tou Aap (ﷺ) ne farmaya “Jiska Darwaza tujhse jyada Qareeb hai.”

– (Sahih Bukhari 2259 

"Barkat wala Dastar-khwan"



"Barkat wala Dastar-khwan"

Nabi-e-kareem (S.A.W) ne irshad farmaya wo Dastar-khwan bahot bada barkat wala hai Jis par koi "YATIM" beth-kar khana khaye



Monday, May 13, 2024

Neki Sadqa hai



Ek aur Riwayat me Aap (ﷺ) ne faramaya

"Har Neki Sadqa Hai ! 
Tum Apne Musalman Bhai se Pyar se Galey milo, yeh bhi Neki hai."

Musnade Ahmad Jild : 5 Safa : 111 : 14715

Takleef me giraftar Musalman



Aap (ﷺ) ne Farmaya

Jo Musalman kisi bhi Takleef me giraftar hota hai Toh Allah Taala uski wajah se uske gunah es tarah jhaad deta hai jaise darakht k patte jhad jate hai

(Sahih Bukhari 5647)

Do Gunah Aise Hai Jinki Saza...



Aap (ﷺ) Ne Farmaya

Do Gunah Aise Hai Jinki Saza Duniya Mein Bhi Milti Hai (Aur Akhirat Mein Bhi) Or Wo Hai Zulm wa Sarkashi(badmashi) Or Maa Baap Ki Na Farmani

(Al Mustadrak Lilhakim 7350)