Sunday, June 23, 2024

Nek Dost aur Burey Dost kimisaal


Mafhum-e-Hadith 

Abu Musa (R.A.) se riwayat hai ki Rasool Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Nek Saathi (Dost) aur Burey Saathi (Dost) ki Misaal mushk bechney waley Attar aur Lohar jaisee hai, Mushk Bechney waley ke paas se tum do achchaeeyon me se ek na ek zaroor pa loge. ya fou Mushk hi kharid loge ya kum se kum Mushk ki khushbu fou zarur pa logey. Lekin Lohar ki bhatti tumharey badan ya kapdey ko jhulsa degi ya uski tum badbu pa logey."

Sahih Bukhari, Vol 3, 2101





✦ Sabaq :


Lihaza aise logo se dosti rakha karo jo tumhare emaan ki doulat me ijafa karwa de aur aise logon se kinara karlo jiska sath tumhe neki aur parhezgaari se gafil kar de.

Tuesday, June 18, 2024

Friday, June 14, 2024

Nek Dost ki Char Khubiya




Jab aap unhe dekhte hai, toh woh aapko Allah ki Yaad dilate hai

Jab aap unke sath baithte hai, toh aapka Imaan badhta hai 

Jab woh aap se baat karte hai, toh isse aapka ilm badhta hai 

Jab aap unke Amaal ko dikhte hain, toh aapko Aakhirat ki Yaad aati hai 


Kya Aapke bhi Aise Dost hai?????